Shayari
ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
ai khirad-mando mubaarak ho tumhein farzaangi
ham hon aur sahraa ho aur hairat ho aur divaangi
اے خرد مندو مبارک ہو تمہیں فرزانگی
ہم ہوں اور صحرا ہو اور حیرت ہو اور دیوانگی
ऐ ख़िरद-मंदो मुबारक हो तुम्हें फ़र्ज़ानगी
हम हों और सहरा हो और हैरत हो और दीवानगी

ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
kabhu bimaar sun kar vo ayaadat ko to aataa thaa
hamein apne bhale hone se vo aazaar behtar thaa
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diyaa mujhe sayyaad ne qafas
bul-havas go karein tere lab-e-shirin par hujum
talkh mat ho ki miThaai se magas aati hai
meraa maashuq hai mazon mein bharaa
kabhu miThaa kabhu salonaa hai
sau baar taar taar kiyaa to bhi ab talak
saabit vahi hai dast o garebaan ki dosti
'shuur' aap kaa pyaar aap ko mubaarak ho
ye pyaar kaa nahin PR kaa zamaana hai
baar-e-khaatir hi agar hai to inaayat kiije
aap ko husn mubaarak ho miraa dil mujh ko
sair-e-gulzaar mubaarak ho sabaa ko ham to
ek parvaaz na ki thi ki giraftaar hue
ishrat-e-haal-e-nau mubaarak ho
aap ko saal-e-nau mubaarak ho
chaand bannaa tumhein mubaarak ho
ghar hamaaraa karoge kab raushan
hasin chehre ki taabindagi mubaarak ho
tujhe ye saal-girah ki khushi mubaarak ho