Shayari
mehndi mire lahu ki mubaarak ho aap ko
rang-e-hinaa hai is mein aur bu-e-vafaa bhi hai
hasin chehre ki taabindagi mubaarak ho
tujhe ye saal-girah ki khushi mubaarak ho
حسین چہرے کی تابندگی مبارک ہو
تجھے یہ سالگرہ کی خوشی مبارک ہو
हसीन चेहरे की ताबिंदगी मुबारक हो
तुझे ये साल-गिरह की ख़ुशी मुबारक हो

mehndi mire lahu ki mubaarak ho aap ko
rang-e-hinaa hai is mein aur bu-e-vafaa bhi hai
ye bhi to ik dalil hai us ke vajud ki
jab tak na maaniye use dil maantaa nahin
zaahid sharaab piine de masjid mein baiTh kar
yaa vo jagah bataa de jahaan par khudaa na ho
na khudaa hi milaa na visaal-e-sanam na idhar ke hue na udhar ke hue
rahe dil mein hamaare ye ranj-o-alam na idhar ke hue na udhar ke hue
kabhi teraa dar kabhi dar-ba-dar kabhi 'arsh par kabhi farsh par
gham-e-'aashiqi tiraa shukriya main kahaan kahaan se guzar gayaa
mahfil mein chaar chaand lagaane ke baavajud
jab tak na aap aae ujaalaa na ho sakaa
duri-e-yaar se hove to kisi shakl najaat
roz ham is liye ho aate hain do chaar ke paas
tamaam umr yuun hi ho gai basar apni
shab-e-firaaq gai roz-e-intizaar aayaa
vo aa rahe hain vo aate hain aa rahe honge
shab-e-firaaq ye kah kar guzaar di ham ne
daavaa bahut baDaa hai riyaazi mein aap ko
tul-e-shab-e-firaaq ko to naap dijiye
ham-safar vo jo ham-safar hi na thaa
aur phir kar liin duriyaan main ne
do alag lafz nahin hijr o visaal
ek mein ek ki goyaai hai