Shayari
meraa azm itnaa buland hai ki paraae sholon kaa Dar nahin
mujhe khauf aatish-e-gul se hai ye kahin chaman ko jalaa na de
lamhe udaas udaas fazaaein ghuTi ghuTi
duniyaa agar yahi hai to duniyaa se bach ke chal
لمحے اداس اداس فضائیں گھٹی گھٹی
دنیا اگر یہی ہے تو دنیا سے بچ کے چل
लम्हे उदास उदास फ़ज़ाएँ घुटी घुटी
दुनिया अगर यही है तो दुनिया से बच के चल

meraa azm itnaa buland hai ki paraae sholon kaa Dar nahin
mujhe khauf aatish-e-gul se hai ye kahin chaman ko jalaa na de
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
kaafi hai mire dil ki tasalli ko yahi baat
aap aa na sake aap kaa paighaam to aayaa
kal raat zindagi se mulaaqaat ho gai
lab thartharaa rahe the magar baat ho gai
miri zindagi pe na muskuraa mujhe zindagi kaa alam nahin
jise tere gham se ho vaasta vo khizaan bahaar se kam nahin
shaguftagi-e-dil-e-kaarvaan ko kyaa samjhe
vo ik nigaah jo uljhi hui bahaar mein hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
uThti chali gai hai koi aur hi sadaa
ik aah-e-sard thi ki dabi ki dabi rahi
saayaa na un ke saath jo dekhaa gayaa kabhi
ham jaise aasiyon ke saron par rahaa sadaa
kabhi milo to dikhaaun udaasiyon kaa safar
jinhein main ruuh ki gahraaiyon mein rakhtaa huun