Shayari
chaandni surkh si dikhaai de
ye moharram kaa chaand hai 'asraar'
uThti chali gai hai koi aur hi sadaa
ik aah-e-sard thi ki dabi ki dabi rahi
اٹھتی چلی گئی ہے کوئی اور ہی صدا
اک آہ سرد تھی کہ دبی کہ دبی رہی
उठती चली गई है कोई और ही सदा
इक आह-ए-सर्द थी कि दबी कि दबी रही

chaandni surkh si dikhaai de
ye moharram kaa chaand hai 'asraar'
ham na aae junun ke bas mein kabhi
ye garebaan khirad ne chaak kiyaa
be-karaan dasht-e-tasavvur mein bhaTakne ke nuqush
mauj-dar-mauj saraabon se ubharte honge
aap ham se judaa nahin hote
aap par ikhtiyaar hai koi
kyaa us se bichhaDte ki mile hi na the jis se
ik-tarfa mohabbat ke bhi hain zaaviye kyaa kyaa
mahv hain hazrat-e-khayaal apne
haal-e-dil mein muraaqiba baandhe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ai gham-e-ishq tujh se haar gae
jaan de kar bhi sharmsaar uThe
najd se jaanib-e-lailaa jo havaa aati hai
dil-e-majnun ke dhaDakne ki sadaa aati hai
kaun se dukh ko palle baandhein kis gham ko tahrir karein
yaan to dard sivaa hotaa hai aur bhi arz-e-haal ke baad