Shayari
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
meraa azm itnaa buland hai ki paraae sholon kaa Dar nahin
mujhe khauf aatish-e-gul se hai ye kahin chaman ko jalaa na de
میرا عزم اتنا بلند ہے کہ پرائے شعلوں کا ڈر نہیں
مجھے خوف آتش گل سے ہے یہ کہیں چمن کو جلا نہ دے
मेरा अज़्म इतना बुलंद है कि पराए शोलों का डर नहीं
मुझे ख़ौफ़ आतिश-ए-गुल से है ये कहीं चमन को जला न दे

unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
kaafi hai mire dil ki tasalli ko yahi baat
aap aa na sake aap kaa paighaam to aayaa
kal raat zindagi se mulaaqaat ho gai
lab thartharaa rahe the magar baat ho gai
lamhe udaas udaas fazaaein ghuTi ghuTi
duniyaa agar yahi hai to duniyaa se bach ke chal
miri zindagi pe na muskuraa mujhe zindagi kaa alam nahin
jise tere gham se ho vaasta vo khizaan bahaar se kam nahin
shaguftagi-e-dil-e-kaarvaan ko kyaa samjhe
vo ik nigaah jo uljhi hui bahaar mein hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
shaakh-e-gul jhuum ke gulzaar mein sidhi jo hui
phir gayaa aankh mein naqsha tiri angDaai kaa
ulfat ne tiri ham ko to rakkhaa na kahin kaa
dariyaa kaa na jangal kaa samaa kaa na zamin kaa
gilauri raqibon ne bheji hai saahab
kisi aur ko bhi khilaa lijiyegaa