Shayari
miri khushi se mire doston ko gham hai 'shamim'
mujhe bhi is kaa bahut gham hai kyaa kiyaa jaae
bahut tavil shab-e-gham hai kyaa kiyaa jaae
umid-e-subh bahut kam hai kyaa kiyaa jaae
بہت طویل شب غم ہے کیا کیا جائے
امید صبح بہت کم ہے کیا کیا جائے
बहुत तवील शब-ए-ग़म है क्या किया जाए
उमीद-ए-सुब्ह बहुत कम है क्या किया जाए

miri khushi se mire doston ko gham hai 'shamim'
mujhe bhi is kaa bahut gham hai kyaa kiyaa jaae
tark-e-mohabbat par bhi hogi un ko nadaamat ham se ziyaada
kis ne ki hai kaun karegaa un se mohabbat ham se ziyaada
baa-vafaai ki adaa paane lagaa huun tujh mein
ai jafaa-dost ye kyaa dekh rahaa huun tujh mein
duniyaa hai ki gosha-e-jahannam
har vaqt azaab-e-ilaahi tauba
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
yaa rab miri duaaon mein itnaa asar rahe
phulon bharaa sadaa miri bahnaa kaa ghar rahe
ehsaas baDhaa detaa hai har dard ki shiddat
mahsus karoge to kasak aur baDhegi
gham hi gham hain tiri ummid mein kyaa rakkhaa hai
iid aayaa kare ab iid mein kyaa rakkhaa hai