Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
yaa rab miri duaaon mein itnaa asar rahe
phulon bharaa sadaa miri bahnaa kaa ghar rahe
یا رب مری دعاؤں میں اتنا اثر رہے
پھولوں بھرا سدا مری بہنا کا گھر رہے
या रब मिरी दुआओं में इतना असर रहे
फूलों भरा सदा मिरी बहना का घर रहे

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
na tamannaa hai tiri aur na vo dard tapish
dil ke marne kaa mujhe ab to yaqin hotaa hai
donon haathon se masarrat ko luTaayaa hai 'habib'
gham ki daulat to magar tum se luTaai na gai