Shayari
kuchh na hone kaa gumaan thaa phir bhi
kuchh to hone ko huaa thaa kyaa thaa
dushvaari-e-hayaat ko dushvaar-tar banaa
jis kaa javaab ban na paDe vo savaal de
دشواریٔ حیات کو دشوار تر بنا
جس کا جواب بن نہ پڑے وہ سوال دے
दुश्वारी-ए-हयात को दुश्वार-तर बना
जिस का जवाब बन न पड़े वो सवाल दे

kuchh na hone kaa gumaan thaa phir bhi
kuchh to hone ko huaa thaa kyaa thaa
us sitam pesha kaa eajaaz-e-sitam hi hogaa
dast-e-qaatil ko agar dast-e-masihaa likkhun
maslahat thi koi vo chup the agar
bolne vaale to khul kar bolte
un se 'sharar' kuchh aise bichhDe
jivan kaa har sapnaa bikhraa
mere hi khuun mein nahlaa ke 'sharar'
vo salibon pe sajaa degaa mujhe
be-hisi vo hai ki is daur mein jiine kaa mazaa
na gunaahon mein rahaa aur na savaabon mein rahaa
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
ek pattaa shajar-e-umr se lo aur giraa
log kahte hain mubaarak ho nayaa saal tumhein
zindagi naam isi mauj-e-mai-e-naab kaa hai
mai-kade se jo uThe daar-o-rasan tak pahunche
zindagi bhar dar-o-divaar sajaae jaaein
tab kahin jaa ke makinon pe makaan khulte hain