Shayari
baDe vasuq se duniyaa fareb deti rahi
baDe khulus se ham e'tibaar karte rahe
mujhe to ranj qabaa-haa-e-taar-taar kaa hai
khizaan se baDh ke gulon par sitam bahaar kaa hai
مجھے تو رنج قبا ہائے تار تار کا ہے
خزاں سے بڑھ کے گلوں پر ستم بہار کا ہے
मुझे तो रंज क़बा-हा-ए-तार-तार का है
ख़िज़ाँ से बढ़ के गुलों पर सितम बहार का है

baDe vasuq se duniyaa fareb deti rahi
baDe khulus se ham e'tibaar karte rahe
ajiib baat hai din bhar ke ehtimaam ke baad
charaagh ek bhi raushan huaa na shaam ke baad
'shaukat' hamaare saath baDaa haadisa huaa
ham rah gae hamaaraa zamaana chalaa gayaa
ravish ravish pe chaman ke bujhe bujhe manzar
ye kah rahe hain yahaan se bahaar guzri hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
uTho ki jashn-e-khizaan ham manaaein ji bhar ke
bahaar aae gulistaan mein kab khudaa jaane