Shayari
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi
ai mohabbat tujhe khabar hogi
dard uTh uTh ke DhunDhtaa kyaa hai
اے محبت تجھے خبر ہوگی
درد اٹھ اٹھ کے ڈھونڈھتا کیا ہے
ऐ मोहब्बत तुझे ख़बर होगी
दर्द उठ उठ के ढूँढता क्या है

dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi
ek parda saa hai fareb-e-nazar
ye bhi uTThe to dekhnaa kyaa hai
piine ko yuun to shaikh bhi tayyaar hain magar
kahte hain shart ye hai girah se na zar khule
pas-e-murdan bhi musht-e-khaak mein kaisi ye vahshat hai
uThaa karti hai aandhi ban ke khaak-e-raaegaan meri
jise samjhaa hai tu ai sang-dil mai-khvaariyaan meri
tire khalvat-kade mein hain vo shab-bedaariyaan meri
dil miraa dard ke sivaa kyaa hai
ibtidaa ye to intihaa kyaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate