Shayari
havaa bhi ishq ki lagne na detaa main use hargiz
agar is dil pe hotaa haae kuchh bhi ikhtiyaar apnaa
sune kyun-kar vo labbaik-e-haram ko
jise naaqus ki aae sadaa khush
سنے کیوں کر وہ لبیک حرم کو
جسے ناقوس کی آئے صدا خوش
सुने क्यूँ-कर वो लब्बैक-ए-हरम को
जिसे नाक़ूस की आए सदा ख़ुश

havaa bhi ishq ki lagne na detaa main use hargiz
agar is dil pe hotaa haae kuchh bhi ikhtiyaar apnaa
buraa na maaniyo main puchhtaa huun ai zaalim
ki be-kason ke sataae se kuchh bhalaa bhi hai
aataa nahin vo yaar-e-sitamgar to kyaa huaa
koi gham to us kaa dil se hamaare judaa nahin
aaine ko tiri surat se na ho kyuun kar hairat
dar o divaar tujhe dekh ke hairaan hai aaj
imaan o diin se 'taabaan' kuchh kaam nahin hai ham ko
saaqi ho aur mai ho duniyaa ho aur ham hon
le meri khabar chashm mire yaar ki kyun-kar
bimaar ayaadat kare bimaar ki kyun-kar
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
furqat qubul rashk ke sadme nahin qubul
kyaa aaein ham raqib teri anjuman mein hai
abr-e-bahaar ab bhi jachtaa nahin nazar mein
kuchh aansuon ke qatre ab bhi hain chashm-e-tar mein
saaf qulqul se sadaa aati hai aamin aamin
apne saaqi ko jo ham rind duaa dete hain