Shayari
kyaa khabar thi aaegaa ik roz aisaa vaqt bhi
meri goyaai tiraa munh dekhti rah jaaegi
jab bhi TuuTaa mire khvaabon kaa hasin taaj-mahal
main ne ghabraa ke kahi 'mir' ke lahje mein ghazal
جب بھی ٹوٹا مرے خوابوں کا حسیں تاج محل
میں نے گھبرا کے کہی میرؔ کے لہجے میں غزل
जब भी टूटा मिरे ख़्वाबों का हसीं ताज-महल
मैं ने घबरा के कही 'मीर' के लहजे में ग़ज़ल

kyaa khabar thi aaegaa ik roz aisaa vaqt bhi
meri goyaai tiraa munh dekhti rah jaaegi
kaise maanun ki zamaane ki khabar rakhti hai
gardish-e-vaqt to bas mujh pe nazar rakhti hai
kaash aisaa koi manzar hotaa
mere kaandhe pe tiraa sar hotaa
taarikiyon ne khud ko milaayaa hai dhuup mein
saaya jo shaam kaa nazar aaya hai dhuup mein
jin ko nindon ki na ho chaadar nasib
un se khvaabon kaa hasin bistar na maang
aadmi huun vasf-e-paighambar na maang
mujh se mere dost meraa sar na maang
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
rakh liyaa thaa main ne roza jaan tumhaare naam kaa
tum ko dekhaa khvaab mein aur meri sehri ho gai
yaa rab hamein to khvaab mein bhi mat dikhaaiyo
ye mahshar-e-khayaal ki duniyaa kahein jise
yahi hai zindagi kuchh khvaab chand ummidein
inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
mujhe bhi us ki judaai sataati rahti hai
use bhi khvaab mein beTaa dikhaai detaa hai