Shayari
ek hi din milaa mohabbat ko
saal bhar ki thakan utaari gai
dhokaa khaane pe ro paDaa hogaa
ye koi 'ishq mein nayaa hogaa
دھوکا کھانے پہ رو پڑا ہوگا
یہ کوئی عشق میں نیا ہوگا
धोका खाने पे रो पड़ा होगा
ये कोई 'इश्क़ में नया होगा

ek hi din milaa mohabbat ko
saal bhar ki thakan utaari gai
daftar-e-husn khole baiThe hain
'aashiqi rozgaar hai un kaa
kyaa huaa husn-e-jaavedaan ko tire
tu to mujh se bichhaD ke khush thi bahut
rumuz-e-vaqt ki pahli class mein bhi miraa
tamaam dhyaan thaa sarkaari naukri ki taraf
haiat se maavaraa hai lisaani jamaaliyaat
paani kaa asl zaaiqa zer-e-namak to hai
apni tasvir chuum li us ne
phuul par phuul khil gayaa jaise
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jo husn-o-ishq kaa ham-vazn imtihaan Thahraa
vo be-dahan nazar aayaa mein be-zabaan Thahraa
aisaa kyaa 'ishq jo rusvaai 'ataa kar na sake
aisi kis kaam ki rusvaai ki shohrat bhi nahin
ik mohabbat ke sivaa aur na kuchh maangaa thaa
kyaa karein ye bhi zamaane ko gavaaraa na huaa
qulzum-e-fikr mein hai kashti-e-imaan saalim
naa-khudaa husn hai aur ishq hai langar apnaa