Shayari
kitaab-e-ishq mein har aah ek aayat hai
par aansuon ko huruf-e-muqattiaat samajh
ye saat uTh paDosi kahaan se aae mire
tumhaare dil mein to koi na thaa sivaae mire
یہ سات اٹھ پڑوسی کہاں سے آئے مرے
تمھارے دل میں تو کوئی نہ تھا سوائے مرے
ये सात उठ पड़ोसी कहाँ से आए मिरे
तुम्हारे दिल में तो कोई न था सिवाए मिरे

kitaab-e-ishq mein har aah ek aayat hai
par aansuon ko huruf-e-muqattiaat samajh
kisi gali mein kiraae pe ghar liyaa us ne
phir us gali mein gharon ke kiraae baDhne lage
us ki tah se kabhi daryaaft kiyaa jaaungaa main
jis samundar mein ye sailaab ikaTThe honge
bichhaD gae to ye dil umr bhar lagegaa nahin
lagegaa lagne lagaa hai magar lagegaa nahin
tum pe kyaa khaak asar hogaa mire sheron kaa
tum ko to mir-taqi-'mir' nahin khinch sakaa
nikaal laayaa huun ek pinjre se ik parinda
ab is parinde ke dil se pinjra nikaalnaa hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
sunaa haal-e-dil-e-'majruh' shab ko
koi hasrat si hasrat thi bayaan mein
pechidgi-e-taba ki ye saaf hai dalil
maani ulajh ke rah gae un ke kalaam mein
aah qaasid to ab talak na phiraa
dil dhaDaktaa hai kyaa huaa hogaa
rozi-rasaan khudaa hai fikr-e-maaash mat kar
is khaar kaa tu dil mein khauf-e-kharaash mat kar