Shayari
kitaab-e-ishq mein har aah ek aayat hai
par aansuon ko huruf-e-muqattiaat samajh
kisi gali mein kiraae pe ghar liyaa us ne
phir us gali mein gharon ke kiraae baDhne lage
کسی گلی میں کرائے پہ گھر لیا اس نے
پھر اس گلی میں گھروں کے کرائے بڑھنے لگے
किसी गली में किराए पे घर लिया उस ने
फिर उस गली में घरों के किराए बढ़ने लगे

kitaab-e-ishq mein har aah ek aayat hai
par aansuon ko huruf-e-muqattiaat samajh
us ki tah se kabhi daryaaft kiyaa jaaungaa main
jis samundar mein ye sailaab ikaTThe honge
bichhaD gae to ye dil umr bhar lagegaa nahin
lagegaa lagne lagaa hai magar lagegaa nahin
tum pe kyaa khaak asar hogaa mire sheron kaa
tum ko to mir-taqi-'mir' nahin khinch sakaa
ye saat uTh paDosi kahaan se aae mire
tumhaare dil mein to koi na thaa sivaae mire
nikaal laayaa huun ek pinjre se ik parinda
ab is parinde ke dil se pinjra nikaalnaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
kisi kali kisi gul mein kisi chaman mein nahin
vo rang hai hi nahin jo tire badan mein nahin
main haath joDtaa huun baDi der se huzur
lag jaaiye gale se ab inkaar ho chukaa
us ki aankhon mein na jaane aks kis kaa thaa magar
ungliyon par ek lams-e-raaegaan meraa bhi thaa