Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dushmanon se kyaa gharaz dushman hain vo
doston ko aazmaa kar dekhiye
دشمنوں سے کیا غرض دشمن ہیں وہ
دوستوں کو آزما کر دیکھیے
दुश्मनों से क्या ग़रज़ दुश्मन हैं वो
दोस्तों को आज़मा कर देखिए

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
yaan rakhna-haa-e-sina kudurat se hain phaTe
vaan ho gae hain rauzan-e-divaar-e-yaar band
kucha-e-yaar se yaarab na uThaanaa ham ko
is bure haal mein bhi ham to yahin achchhe hain
yaa-rab tiri rahmat se maayus nahin 'faani'
lekin tiri rahmat ki taakhir ko kyaa kahiye
chakh liyaa us ne pyaar thoDaa saa
aur phir zahr kar diyaa hai mujhe