Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
kise yaqin ki tum dekhne ko aaoge
akhir vaqt magar intizaar aur sahi
کسے یقین کہ تم دیکھنے کو آؤ گے
اخیر وقت مگر انتظار اور سہی
किसे यक़ीन कि तुम देखने को आओगे
अख़ीर वक़्त मगर इंतिज़ार और सही

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
tum nahin aaoge khabar hai hamein
phir bhi ham intizaar kar leinge
davaam paaegaa ik roz haq zamaane mein
ye intizaar nahin intizaar-e-vahshat hai
isi khayaal mein har shaam-e-intizaar kaTi
vo aa rahe hain vo aae vo aae jaate hain
intizaar aap kaa aisaa hai ki dam kahtaa hai
nigah-e-shauq huun aankhon se nikal jaaungaa