Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
kyaa lutf-e-id hai jo agar tum se duur hon
guzregaa roz-e-id tasavvur mein aap ke
کیا لطف عید ہے جو اگر تم سے دور ہوں
گزرے گا روز عید تصور میں آپ کے
क्या लुत्फ़-ए-ईद है जो अगर तुम से दूर हों
गुज़रेगा रोज़-ए-ईद तसव्वुर में आप के

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
sau iid agar zamaane mein laae falak va-lek
ghar se hamaare maah-e-muharram na jaaegaa
mah-jabin iid mein angusht-numaa kyuun na rahein
iid kaa chaand hi angusht-numaa hotaa hai
aap idhar aae udhar diin aur imaan gae
iid kaa chaand nazar aayaa to ramzaan gae
pahle Daali tire chehre pe bahut der nazar
'iid kaa chaand to phir baa'd mein dekhaa main ne
miri nigaah ko gar teri diid ho jaae
qasam khudaa ki miri iid iid ho jaae
kahin hai iid ki shaadi kahin maatam hai maqtal mein
koi qaatil se miltaa hai koi bismil se miltaa hai