Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
vo agar mujh ko na bhulein to bhulaaein kis ko
ham agar un ko bhulaaein to kise yaad karein
وہ اگر مجھ کو نہ بھولیں تو بھلائیں کس کو
ہم اگر ان کو بھلائیں تو کسے یاد کریں
वो अगर मुझ को न भूलें तो भुलाएँ किस को
हम अगर उन को भुलाएँ तो किसे याद करें

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
kar kuchh aisaa ki tujhe yaad rakhun
bhuul jaane kaa taqaazaa hi sahi
saare quraan se us pari-ru ko
yaad ik lafz-e-lan-taraani hai
aise sulag uThaa tiri yaadon se dil miraa
jaise dhadhak uThein kahin jangal chinaar ke
chheDtaa kyuun hai khudaa ke liye sayyaad mujhe
nau-giraftaar huun aati nahin fariyaad mujhe
vo ayaadat ko to aayaa thaa magar jaate hue
apni tasvirein bhi kamre se uThaa kar le gayaa