Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
milti hai gham se ruuh ko ik lazzat-e-hayaat
jo gham-nasib hai vo baDaa khush-nasib hai
ملتی ہے غم سے روح کو اک لذت حیات
جو غم نصیب ہے وہ بڑا خوش نصیب ہے
मिलती है ग़म से रूह को इक लज़्ज़त-ए-हयात
जो ग़म-नसीब है वो बड़ा ख़ुश-नसीब है

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
main vaqt ke kohraam mein kho jaaun to kyaa gham
DhunDegaa zamaana miri aavaaz kaa chehra
simTe rahe to dard ki tanhaaiyaan milin
jab khul gae to dahr ki rusvaaiyaan milin