Shayari
har mulaaqaat pe siine se lagaane vaale
kitne pyaare hain mujhe chhoD ke jaane vaale
safir-e-ishq hamein ab to ham safar kar lo
hamaare paas to saamaan bhi ziyaada nahin
سفیر عشق ہمیں اب تو ہم سفر کر لو
ہمارے پاس تو سامان بھی زیادہ نہیں
सफीर-ए-इश्क़ हमें अब तो हम सफ़र कर लो
हमारे पास तो सामान भी ज़ियादा नहीं

har mulaaqaat pe siine se lagaane vaale
kitne pyaare hain mujhe chhoD ke jaane vaale
ik lamha-e-firaaq pe vaaraa gayaa mujhe
kaisi hasin shaam mein maaraa gayaa mujhe
ik roz khel khel mein ham us ke ho gae
aur phir tamaam umr kisi ke nahin hue
us hijr pe tohmat ki jise vasl ki zid ho
us dard pe laanat ki jo ashaar mein aa jaae
itnaa hairaan na ho meri anaa par pyaare
ishq mein bhi kai khuddaar nikal aate hain
vo ek haath baDhaaegaa tujh ko paa legaa
so dekh sabr kaa elaan bhi ziyaada nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
raaz-e-gham-e-ulfat ko ye duniyaa na samajh le
aansu mire daaman mein tumhaare bhi mile hain
Dare huon ne tumhein bhi Daraa diyaa varna
khudaa to pyaar sikhaataa hai kuchh nahin kahtaa
aage baDhe na qissa-e-ishq-e-butaan se ham
sab kuchh kahaa magar na khule raaz-daan se ham
jaan se baDh ke huaa karti hai 'izzat pyaare
sar diyaa jaataa hai dastaar bachaane ke liye