Shayari
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
zamin uThegi nahin aasmaan jhukegaa nahin
anaa-parast hain donon ke khaandaan bahut
زمیں اٹھے گی نہیں آسماں جھکے گا نہیں
انا پرست ہیں دونوں کے خاندان بہت
ज़मीं उठेगी नहीं आसमाँ झुकेगा नहीं
अना-परस्त हैं दोनों के ख़ानदान बहुत

bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
is bhiiD mein duniyaa ki ham tum na bichhaD jaaein
main tum pe nazar rakkhun tum mujh pe nazar rakhnaa
ab ye khvaahish hai karein log hamaari ghibat
phail jaaein tiri galiyon mein khabar ki surat
ab un se paai hai taklif to shikaayat kyaa
hamin ne sar pe chaDhaayaa thaa kuchh kaminon ko
ek hi rang mein jiine kaa hunar sikhaa hai
ham se har baat pe chehra nahin badlaa jaataa
aaya na phir bhi chaand utar kar zamin par
karte rahe darakht ishaare tamaam raat
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
ye maanaa zindagi hai chaar din ki
bahut hote hain yaaro chaar din bhi
khudi buland ho be-shak yahi thi meri raae
ye kab kahaa thaa ki qavvaal is mein haath lagaae
har samt sabza-zaar bichhaanaa basant kaa
phulon mein rang-o-bu ko luTaanaa basant kaa