Shayari
mujh ko havas-e-baada-o-saaghar nahin saaqi
un mast nigaahon kaa bas ik jaam bahut hai
W
Wafa Shahjahanpuriye kyaa hai ki zikr-e-gham-e-ayyaam bahut hai
shishe mein abhi to mai-e-gulfaam bahut hai
یہ کیا ہے کہ ذکر غم ایام بہت ہے
شیشہ میں ابھی تو مے گلفام بہت ہے
ये क्या है कि ज़िक्र-ए-ग़म-ए-अय्याम बहुत है
शीशे में अभी तो मय-ए-गुलफ़ाम बहुत है
mujh ko havas-e-baada-o-saaghar nahin saaqi
un mast nigaahon kaa bas ik jaam bahut hai
nazron ki tashaffi kaa bhi kar de koi saamaan
dil ke to bahalne ko tiraa naam bahut hai
martaa huun havas mein gham-e-jaaved ki varna
jiine ko tire hijr ki ik shaam bahut hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke