Shayari
mujh ko havas-e-baada-o-saaghar nahin saaqi
un mast nigaahon kaa bas ik jaam bahut hai
W
Wafa Shahjahanpurimartaa huun havas mein gham-e-jaaved ki varna
jiine ko tire hijr ki ik shaam bahut hai
مرتا ہوں ہوس میں غم جاوید کی ورنہ
جینے کو ترے ہجر کی اک شام بہت ہے
मरता हूँ हवस में ग़म-ए-जावेद की वर्ना
जीने को तिरे हिज्र की इक शाम बहुत है
mujh ko havas-e-baada-o-saaghar nahin saaqi
un mast nigaahon kaa bas ik jaam bahut hai
nazron ki tashaffi kaa bhi kar de koi saamaan
dil ke to bahalne ko tiraa naam bahut hai
ye kyaa hai ki zikr-e-gham-e-ayyaam bahut hai
shishe mein abhi to mai-e-gulfaam bahut hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
chale aate hain be-mausam ki baarish ki tarah aansu
basaa-auqaat rone kaa sabab kuchh bhi nahin hotaa
bazm se duur vo gaataa rahaa tanhaa tanhaa
so gayaa saaz pe sar rakh ke sahar se pahle
raat bhar dard ki shama jalti rahi
gham ki lau thartharaati rahi raat bhar