Shayari
uf gardish-e-hayaat tiri fitna-saaziyaan
apne vatan mein duur hain ahl-e-vatan se ham
meri divaangi-e-ishq hai ik dars-e-jahaan
mere girne se bahut log sambhal jaate hain
میری دیوانگئ عشق ہے اک درس جہاں
میرے گرنے سے بہت لوگ سنبھل جاتے ہیں
मेरी दीवानगी-ए-इश्क़ है इक दर्स-ए-जहाँ
मेरे गिरने से बहुत लोग सँभल जाते हैं

uf gardish-e-hayaat tiri fitna-saaziyaan
apne vatan mein duur hain ahl-e-vatan se ham
baad taklif ke raahat hai yaqini 'vaahid'
raat kaa aanaa hi paighaam-e-sahar hotaa hai
gul ghunche aaftaab shafaq chaand kahkashaan
aisi koi bhi chiiz nahin jis mein tu na ho
kisi ko be-sabab shohrat nahin milti hai ai 'vaahid'
unhin ke naam hain duniyaa mein jin ke kaam achchhe hain
aazaad to barson se hain arbaab-e-gulistaan
aai na magar taaqat-e-parvaaz abhi tak
shakhsiyyat-e-fankaar muamma nahin 'vaahid'
fan hi mein huaa kartaa hai fankaar kaa partav
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thaa muqaddam ishq-e-but islaam par tifli mein bhi
yaa sanam kah kar paDhaa maktab mein bismillaah ko
rindaan-e-ishq chhuT gae mazhab ki qaid se
ghanTa rahaa gale mein na zunnaar rah gayaa
manzil-e-ishq ki hai rah hamvaar
na bulandi hai yaan na pasti hai