Shayari
dosto DhunD ke ham saa koi pyaasaa laao
ham to aansu bhi jo piite hain to paani ki tarah
ham khuun ki qistein to kai de chuke lekin
ai khaak-e-vatan qarz adaa kyuun nahin hotaa
ہم خون کی قسطیں تو کئی دے چکے لیکن
اے خاک وطن قرض ادا کیوں نہیں ہوتا
हम ख़ून की क़िस्तें तो कई दे चुके लेकिन
ऐ ख़ाक-ए-वतन क़र्ज़ अदा क्यूँ नहीं होता

dosto DhunD ke ham saa koi pyaasaa laao
ham to aansu bhi jo piite hain to paani ki tarah
dariyaa dikhaai detaa hai har ek reg-zaar
shaayad ki in dinon mujhe shiddat ki pyaas hai
vahaan hamaaraa koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaanaa chaahte hain ham
musallaa rakhte hain sahbaa-o-jaam rakhte hain
faqir sab ke liye intizaam rakhte hain
sameT bikhre hue kaaghzaat ko apne
koi sadaa tujhe vaapas bulaane vaali hai
main jis kaa javaab na de paaun
aisaa bhi koi savaal karnaa
hai ajab nizaam zakaat kaa mire mulk mein mire des mein
ise kaaTtaa koi aur hai ise baanTtaa koi aur hai
azmat-e-mulk is siyaasat ke
haath nilaam ho rahi hai ab
banaayaa ai 'zafar' khaaliq ne kab insaan se behtar
malak ko dev ko jin ko pari ko huur o ghilmaan ko
bulaa ke baat bhi ki aur muskuraa bhi diyaa
kiyaa shahid bhi qaatil ne khun-bahaa bhi diyaa
vatan ki khaak se mar kar bhi ham ko uns baaqi hai
mazaa daamaan-e-maadar kaa hai is miTTi ke daaman mein
uDaati hai vo tegh chaadar lahu ki
shahidon ko khilat ataa ho rahaa hai