Shayari
dekh saktaa huun binaa chashme ke main
dost teri bevafaai saaf saaf
chaahiye thi aap ki tasvir so
khinch li tasvir main ne chaand ki
چاہیئے تھی آپ کی تصویر سو
کھینچ لی تصویر میں نے چاند کی
चाहिए थी आप की तस्वीर सो
खींच ली तस्वीर मैं ने चाँद की

dekh saktaa huun binaa chashme ke main
dost teri bevafaai saaf saaf
raushni bhi tirgi bhi saath hai yaa yuun kahein
zindagi khush hai magar khush bhi tavaaif ki tarah
daf'atan main Thiik ho saktaa huun chaaraagar mire
tu mujhe pahnaa de us ke naam kaa taa'viz gar
rakh liyaa thaa main ne roza jaan tumhaare naam kaa
tum ko dekhaa khvaab mein aur meri sehri ho gai
tumhaare bin nahin lete kabhi karvaT akele ham
tumhaari yaad bhi karvaT hamaare saath leti hai
rang saare aa gae 'aariz pe mere
jab kahaa us ne mujhe holi mubaarak
vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
muddaton baa'd kabhi ai nazar aane vaale
iid kaa chaand na dekhaa tiri surat dekhi
ai mire dost ek muddat se
chaand dekhaa nahin teri chhat se
chaand taare to mire bas mein nahin hain 'aazar'
phuul laayaa huun miraa haath kahaan tak jaaataa
sharaab o saaqi-e-mah-ru jo saath hon 'bedaar'
to khush-numaa hai shab-e-maahtaab mein dariyaa
chaand hai paani mein yaa bhule hue chehre kaa aks
saahil-e-dariyaa pe dekho main bhi hairaani mein huun