Shayari
ahl-e-mahshar dekh luun qaatil ko to pahchaan luun
bholi-bhaali shakl thi aur kuchh bhalaa saa naam thaa
muddaton baa'd kabhi ai nazar aane vaale
iid kaa chaand na dekhaa tiri surat dekhi
مدتوں بعد کبھی اے نظر آنے والے
عید کا چاند نہ دیکھا تری صورت دیکھی
मुद्दतों बा'द कभी ऐ नज़र आने वाले
ईद का चाँद न देखा तिरी सूरत देखी

ahl-e-mahshar dekh luun qaatil ko to pahchaan luun
bholi-bhaali shakl thi aur kuchh bhalaa saa naam thaa
hain sau tariqe aur bhi ai be-qaraar dil
izhaar-e-shikva shikve ke andaaz mein na ho
in se jab puchhaa gayaa bismil tumhaare kyaa karein
hans ke bole zakhm-e-dil dekhaa karein royaa karein
kam-sini kyaa kam thi is par qahr hai shakki mizaaj
apnaa naavak mere dil se khinch kar dekhaa kiye
kisi aankh mein niind aae to jaanun
miraa qissa-e-gham kahaani nahin hai
vo to kahiye aap ki ulfat mein dil bahlaa rahaa
varna duniyaa chaar din bhi rahne ke qaabil na thi
vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
aate rahte hain falak se bhi ishaare kuchh na kuchh
baat kar lete hain ham se chaand taare kuchh na kuchh
jab adhure chaand ki parchhaain paani par paDi
raushni ik naa-mukammal si kahaani par paDi
shaamil na hote husn ke jalve agar 'kamaal'
hotaa kahaan ye nuur shab-e-maahtaab mein
baat vo aadhi raat ki raat vo puure chaand ki
chaand bhi ain chait kaa us pe tiraa jamaal bhi
ik divaar pe chaand Tikaa thaa
main ye samjhaa tum baiThe ho