Shayari
musalsal ek hi tasvir chashm-e-tar mein rahi
charaagh bujh bhi gayaa raushni safar mein rahi
samundar ho to us mein Duub jaanaa bhi ravaa hai
magar dariyaaon ko to paar karnaa chaahiye thaa
سمندر ہو تو اس میں ڈوب جانا بھی روا ہے
مگر دریاؤں کو تو پار کرنا چاہیئے تھا
समुंदर हो तो उस में डूब जाना भी रवा है
मगर दरियाओं को तो पार करना चाहिए था

musalsal ek hi tasvir chashm-e-tar mein rahi
charaagh bujh bhi gayaa raushni safar mein rahi
ek divaar uThaai thi baDi ujlat mein
vahi divaar giraane mein bahut der lagi
parda aankhon se haTaane mein bahut der lagi
hamein duniyaa nazar aane mein bahut der lagi
jis samt ki havaa hai usi samt chal paDein
jab kuchh na ho sakaa to yahi faisla kiyaa
apni nigaah par bhi karun e'tibaar kyaa
kis maan par kahun vo miraa intikhaab thaa
raste se miri jang bhi jaari hai abhi tak
aur paanv tale zakhm ki vahshat bhi vahi hai
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo saari baatein main ahbaab hi se kahtaa huun
mujhe harif ko jo kuchh sunaanaa hotaa hai
rahe hain chaand-raaton mein bhi tanhaa
hamein khuddaariyaan mahngi paDi hain
dahliz par sar khole khaDi hogi zarurat
ab aise mein ghar jaanaa munaasib nahin hogaa
kitnaa aasaan thaa tire hijr mein marnaa jaanaan
phir bhi ik umr lagi jaan se jaate jaate