Shayari
jo baiThaa hai bagulaa bhagat ki tarah
vahi ham ko asli shikaari lage
vafur-e-ishq ke jazbe se ho gai sarshaar
nikal paDi hai muridan jadid piir ke saath
وفور عشق کے جذبے سے ہو گئی سرشار
نکل پڑی ہے مریدن جدید پیر کے ساتھ
वफ़ूर-ए-इश्क़ के जज़्बे से हो गई सरशार
निकल पड़ी है मुरीदान जदीद पीर के साथ

jo baiThaa hai bagulaa bhagat ki tarah
vahi ham ko asli shikaari lage
shauharon se bibayaan laDti hain chhaapa-maar jang
raabta un kaa bhi kyaa kashmir ki vaadi se hai
jo apnaa bhaai hai rahtaa hai vo paanv ki Thokar mein
magar joru kaa bhaai to gale kaa haar hotaa hai
pople munh se chane khaanaa nahin mumkin huzur
aa nahin sakti javaani lauT ke maajun se
ye rishvat ke hain paise din mein kaise luun musalmaan huun
main le saktaa nahin sar apne ye ilzaam roze mein
vahi suluk zamaane ne mere saath kiyaa
kiyaa thaa jaisaa musharraf ne be-nazir ke saath
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
charchaa hamaaraa ishq ne kyuun jaa-ba-jaa kiyaa
dil us ko de diyaa to bhalaa kyaa buraa kiyaa
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa