Shayari
rang baatein karein aur baaton se khushbu aae
dard phulon ki tarah mahke agar tu aae
buraa na maan 'ziyaa' us ki saaf-goi kaa
jo dard-mand bhi hai aur be-adab bhi nahin
برا نہ مان ضیاؔ اس کی صاف گوئی کا
جو درد مند بھی ہے اور بے ادب بھی نہیں
बुरा न मान 'ज़िया' उस की साफ़-गोई का
जो दर्द-मंद भी है और बे-अदब भी नहीं

rang baatein karein aur baaton se khushbu aae
dard phulon ki tarah mahke agar tu aae
himmat hai to buland kar aavaaz kaa alam
chup baiThne se hal nahin hone kaa masala
ishq mein bhi koi anjaam huaa kartaa hai
ishq mein yaad hai aaghaaz hi aaghaaz mujhe
ye aansu ye pashemaani kaa izhaar
mujhe ik baar phir bahkaa gai ho
tu koi sukhaa huaa patta nahin hai ki jise
jis taraf mauj-e-havaa chaahe uDaa kar le jaae
abr-e-aavaara se mujh ko hai vafaa ki ummid
barq-e-betaab se shikva hai ki paainda nahin
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
raat bhar shama jalaataa huun bujhaataa huun 'siraaj'
baiThe baiThe yahi shaghl-e-shab-e-tanhaai hai
ek ek se bhiik aansuon ki maang rahaa huun
kis ne mujhe jhonkaa hai jahannam ki fazaa mein
aa gayaa dhyaan mein mazmun tiri yaktaai kaa
aaj matla huaa misraa miri tanhaai kaa