Shayari
buraa na maan 'ziyaa' us ki saaf-goi kaa
jo dard-mand bhi hai aur be-adab bhi nahin
ye aansu ye pashemaani kaa izhaar
mujhe ik baar phir bahkaa gai ho
یہ آنسو یہ پشیمانی کا اظہار
مجھے اک بار پھر بہکا گئی ہو
ये आँसू ये पशेमानी का इज़हार
मुझे इक बार फिर बहका गई हो

buraa na maan 'ziyaa' us ki saaf-goi kaa
jo dard-mand bhi hai aur be-adab bhi nahin
rang baatein karein aur baaton se khushbu aae
dard phulon ki tarah mahke agar tu aae
himmat hai to buland kar aavaaz kaa alam
chup baiThne se hal nahin hone kaa masala
ishq mein bhi koi anjaam huaa kartaa hai
ishq mein yaad hai aaghaaz hi aaghaaz mujhe
tu koi sukhaa huaa patta nahin hai ki jise
jis taraf mauj-e-havaa chaahe uDaa kar le jaae
abr-e-aavaara se mujh ko hai vafaa ki ummid
barq-e-betaab se shikva hai ki paainda nahin
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye zindagi hai apni kabhi khush kabhi udaas
is kashmakash se mujh ko khudaayaa rihaai de
kisi aankh mein niind aae to jaanun
miraa qissa-e-gham kahaani nahin hai
daaman-o-jeb-o-garebaan kaa nahin koi malaal
gham ye hai dast-e-junun kal ke liye kaam nahin