Quote
"nayaa khilaa hai shagufa koi bahaar mein kyaa gundhaa huaa hai miraa dil kisi ke haar mein kyaa uDaane phuul hasin aae hain bahaar mein kyaa lagi hai aag si ye aaj laala-zaar mein kyaa kisi se kahne ye aae hain vo sahar hote tamaam-raat kaTi mere intizaar mein kyaa tumhaare khaal kaa bosa nahin hai ginti mein zaraa si chiiz hai aaegi ye shumaar mein kyaa utaar li sar-e-baazaar jis ne rukh se naqaab hijaab aae use sau main kyaa hazaar mein kyaa ye surma chashm-e-adu ke liye uThaa rakkhein vo khaak Daalte hain chashm-e-etibaar mein kyaa banaaeinge dil-e-pur-daagh jama kar ke unhein chamakte dekhe hain zarre mire ghubaar mein kyaa ye mere dosh se hote nahin judaa dam-e-naza gaDeinge mere farishte mire mazaar mein kyaa hai intizaar ki mai-nosh khum liye pahunchein ghiri hain kal se ghaTaaein ye sabza-zaar mein kyaa jo dekhe saanp ke kaaTe ki lahr use aae bharaa hai zahr ab aisaa bhi zulf-e-yaar mein kyaa sharaab se bhi sivaa khush-gavaar hai ham ko bataaein kyaa ki mazaa paD gayaa udhaar mein kyaa kanaar-e-shauq mein aa kar hasin nikal na sake asar khudaa ne diyaa hai hamaare pyaar mein kyaa 'riyaaz' tauba karo din khizaan ke aae hain tum aae piine ko jaati hui bahaar mein kyaa"







