Quote
"maston pe ungliyaan na uThaao bahaar mein dekho to hosh hai bhi kisi hoshyaar mein kuchh mohtasib kaa khauf hai kuchh shaikh kaa lihaaz piitaa huun chhup ke daaman-e-abr-e-bahaar mein vo saamne dhari hai suraahi bhari hui donon jahaan hain aaj mire ikhtiyaar mein allaah baat kyaa hai ki divaangi miri divaangi nahin nazar-e-hoshiyaar mein jhuTi tasalliyon se na bahlaao jaao jaao jaao ki tum nahin ho mire ikhtiyaar mein huun vaadi-e-hayaat mein is tarah sust-e-gaam jaise ho paa-shikasta koi khaar-zaar mein ab vo sukun-e-yaas na vo iztiraab-e-shauq siine mein dil hai yaa koi laasha mazaar mein ab khaak uDaaiye na hamaare mazaar ki ab khaak bhi nahin hai hamaare mazaar mein tanhaai-e-firaaq mein ummid baar-haa gum ho gai sukut ke hangaama-zaar mein vo andalib-e-gulshan-e-maani huun main 'hafiz' soz-e-sukhan se aag lagaa duun bahaar mein"







