SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byQalaq Merathi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"duuri mein kyuun ki ho na tamannaa huzur ki manzil ko meri qurb se nisbat hai duur ki furqat ne us ki vasl ki tashvish duur ki taskin nahin hai yuun bhi dil-e-naa-subur ki muusaa ke sar pe paanv hai ahl-e-nigaah kaa us ki gali mein khaak uDi koh-e-tur ki kahtaa hai anjuman ko tiri khuld muddai is bul-havas ke dil mein tamannaa hai huur ki vaaiz ne mai-kade ko jo dekhaa to jal gayaa phailaa gayaa charaand sharaab-e-tahur ki muusaa ko kyuun na mauj-e-tajalli dhakel de jalve se us ke gul hui mashal shuur ki arbaab-e-vaqt jaante hain rozgaar ne ki sahv se vafaa to talaafi zarur ki rusvaaiyon kaa hausla ghaT ghaT ke baDh gayaa saamaan hai khaamushi miri shor-e-nushur ki mel aasmaan kaa su-e-zamin be-sabab nahin zer-e-qadam jagah hai sar-e-pur-ghurur ki us se na miliye jis se mile dil tamaam umr sujhi hamein bhi hijr mein aakhir ko duur ki paamaal kar rahaa hai siyah-roziyon kaa josh miTTi kharaab hai mire kalabe mein nuur ki kyaa ek qurb-e-ghair kaa sadma na pochhiye hain dil ke aas paas balaa duur duur ki mazmun mire uDaae 'qalaq' sab ne is qadar suntaa huun main taraana zabaani tuyur ki"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"kis qadar dilrubaa-numaa hai dil khaana-e-ghair ho gayaa hai dil har ghaDi kyuun na zalzale mein rahe mashhad-e-hasrat-o-vafaa hai dil maut bhi sahl kuchh nahin apni kis liye taaqat-aazmaa hai dil maslahat is mein ho na koi kaash dushman-e-jaan ho gayaa hai dil sab se lag chalne ki hui hai kho kis qadar sarf-e-aashnaa hai dil shaikh-e-sanaan kaa yaad hai qissa sakht kaafir buri balaa hai dil apni haalat mein mubtalaa huun aap dil-rubaa jaan hai jaan-rubaa hai dil balbe vaamaandgi ki tez ravi jaise jaane pe aa gayaa hai dil kis jafaa-kaar ki vafaa hai jaan kis sitam-kash kaa mudda'aa hai dil teri ulfat kaa naqd daagh-e-jigar meri hasrat kaa khun-bahaa hai dil kahiye kis se lagaa liyaa laggaa ai 'qalaq' kyuun ke lag chalaa hai dil"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"tere vaade kaa ikhtitaam nahin ki qayaamat pe bhi qayaam nahin bevafaai tumhaari aam hui ab kisi ko kisi se kaam nahin kis liye daava-e-zulekhaai ghair yusuf nahin ghulaam nahin vasl ke baad hijr kaa kyaa kaam duur gardun kaa intizaam nahin kaun suntaa hai naala-o-fariyaad charkh ko khauf-e-intiqaam nahin khaal-e-lab dekh kar huaa maalum koi daana baghair-e-daam nahin aap mein kyuun ki aauun jab ki tu aae khalvat-e-khaas bazm-e-aam nahin naala kartaa huun log sunte hain aap se meraa kuchh kalaam nahin jis jagah hai vahaan bhi hai bohtaan ki kisi jaa tiraa maqaam nahin roz-e-furqat ko roz-e-hashr na jaan shaam par bhi to ikhtitaam nahin hai khudaa hi 'qalaq' jo aaj bujhe subh hote nahin ki shaam nahin"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"na pahunche haath jis kaa zoaf se taa-zist daaman tak suraagh-e-khun ab is kaa mar ke jaae khaak gardan tak sar-o-saamaan se hain ye be-sar-o-saamaaniyaan apni ki hai josh-e-junun meraa garebaan-gir daaman tak na ki ghaflat se qadr-e-dil abas ilzaam dilbar par mataa-e-khufta ke jaane ke sau raste hain rahzan tak ye hiila bhi nahin kam maut ke aane ko gar aae na aae jo ki baalin par vo kyaa jaaegaa madfan tak kuchh aisaa ikhtilaat aapas se uTThaa is zamaane mein na qaatil aae hai mujh tak na jaae maut dushman tak miri mehnat kaa zaaea honaa hi to ik qayaamat hai ki baad-o-barq aafat mein raheinge mere khirman tak vafaa ki nazr hai meri hi jaan-e-hasrat-aaluda asar ki qadr hai meri hi aah-e-qaafila-zan tak ghubaar-e-dil kisi Dhab se na qaatil kaa huaa saabit ki saaf us ki havaa ki tegh mujh se mere kushtan tak main apne hausle se aur vo apne jaame se baahar na khanjar kaa use khaTkaa na yaan sarfa hai gardan tak nahin hotaa rafu chaak-e-garebaan-e-fanaa hargiz mangaain charkh-e-chaarum se agar iisaa ki sozan tak giraan-jaani chaman mein bhi nishaana ho gai aakhir ki baar-e-dosh-e-gulban hai miri shaakh-e-nasheman tak 'qalaq' martaa hai aur hotaa hai maatam kaa ye hangaama magar ronaa hai is kaa tu na aayaa bazm-e-shevan tak"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"vahi vaada hai vahi aarzu vahi apni umr-e-tamaam hai vahi chashm hai vahi raah hai vahi subh hai vahi shaam hai vahi khasta-haal kharaab hai vahi khvaab kushta-e-khvaab hai vahi zindagi ko javaab hai na salaam hai na payaam hai vahi josh naala-o-aah mein vahi shoala jaan-e-tabaah mein vahi barq-e-yaas nigaah mein jo khayaal hai so vo khaam hai vahi khvaab-o-khur ki talaash hai vahi jaan-o-dil mein kharaash hai vahi ranj-e-ghair-e-maaash hai mujhe zindagi bhi haraam hai vahi hijr dushman-e-vasl hai vahi marg-o-zist mein fasl hai vahi apne shaghl se shaghl hai vahi apne kaam se kaam hai vahi shaq jigar na siyo siyo vahi ziist hai na jiyo jiyo vahi khun-e-dil na piyo piyo vahi baada hai vahi jaam hai vahi shauq-e-raah hai rahnumaa vahi jalva-gaah hai rukh-kushaa vahi bazm-e-naaz hai jaa-ba-jaa vahi har qadam pe maqaam hai vahi nim-jaan dam-e-vaapsin vahi naala-kash sukhan-e-hazin vahi yaas-e-zist hai dil-nashin ki zabaan pe aap kaa naam hai vahi ranj hai to yuun hi sahi vo 'qalaq' hi thaa ki yuun hi nibhi miri aap ko bhi hai bandagi miraa ishq ko bhi salaam hai"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"pi bhi ai maaya-e-ashabaab sharaab garm-joshi se hai kabaab sharaab maryami uD gai masihaa ki lab-e-naazuk pe hai sharaab sharaab us se ham jaa bhiDe adu ke ghar hai paDi khaanumaan-kharaab sharaab kyuun ki mutlaq haraam hi kahiye pijiegaa milaa ke aab sharaab bahr-e-har-zarf-e-imtihaan saaghar har tamannaa kaa intikhaab sharaab baad-azin mohtasib qasam le le tauba kartaa huun laa shitaab sharaab zaaea auqaat ko nahin karte piite hain vaqt-e-maahtaab sharaab sakht maatam hai ai shabaab tiraa ki rulaati hai khun-e-naab sharaab mohtasib us kaa khuun hai kis par jo hai piitaa bajaae aab sharaab mushaf-o-khirqa bechte hain ham ho gai jaan ko azaab sharaab us ki bakhshish hai be-hisaab agar ham bhi piite hain be-hisaab sharaab har ghaDi zikr-e-mai hai ai vaaiz ho gai teri to kitaab sharaab ai 'qalaq' mai-kade mein sajde kyuun kaun degaa pa-e-savaab sharaab"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"hai khamoshi-e-intizaar balaa ast hai ek chup hazaar balaa dekh le ik nazar ki hai manzur sad-tabaahi o sad-hazaar balaa dilbari par hai jaan-fazaa be-daad dil-dahi par hai jaan-nisaar balaa hijr mein aasmaan mudaaraai vasl mein hai satiza-kaar balaa kaj-kulaahi kaa ham-nashin fitna kham-e-gesu ki dost-daar balaa aa gai sar pe aaqibat aafat ho gai chashm-e-intizaar balaa hai fidaa mujh pe aasmaan goyaa vaar vaar aai baar baar balaa mujh saa paamaal-e-rozgaar hai kaun khajil aafat hai sharm-saar balaa daagh kaa mere dard-kash sadma dard ki mere raaz-daar balaa sehn-e-gulshan ki sham-e-bazm hai barq naujavaani ki hai bahaar balaa ai 'qalaq' aasare kaa kyaa jiinaa zindagi hai maaal-e-kaar balaa"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"ai sitam-aazmaa jafaa kab tak kushta-e-zindagi vafaa kab tak garmi-e-koshish-e-jafaa kab tak daavaa-e-shohrat-e-vafaa kab tak ai dil-e-zohd-khu riyaa kab tak naa-muraadaana muddaaa kab tak ek mein mil gayaa khudaa maaraa yuun nibaahegaa dusraa kab tak imtihaan par ye imtihaan taa-chand aazmaa aazmaaegaa kab tak hasrat aaegi dam mein sau sau baar ai havas shor-e-marhabaa kab tak qudrat-e-sabr aaqibat kitni jurat-e-taaqat-aazmaa kab tak tum samajh jaao meri khaamoshi na kahun kahiye muddaaa kab tak kijiye ab mire nibaah ki fikr yaar sabr-e-gurez-paa kab tak khvaab mein bhi vo aaeinge taa-chand main milaa bhi to yuun milaa kab tak dil mein kab tak tumhaare khaTkungaa chashm-e-dushman mein meri jaa kab tak tandurusti-e-dil hai be-jaani dard-e-be-dard ki davaa kab tak tark ki saaf us ne goyaai nargis-e-surma-saa khafaa kab tak ai dil-e-be-qaraar-o-be-aaraam naala taa-chand taa-kujaa kab tak ai 'qalaq' vasl mein bhi huun naashaad taala-e-naa-rasaa rasaa kab tak"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"un se kahaa ki sidq-e-mohabbat magar darogh kahne lage ye sach hai ki har tarah par darogh duzd-e-hinaa pe duzdi-e-jaan kaa hai ittihaam khun-e-dil-o-jigar sar-e-tegh-e-nazar darogh aanaa sabaah-e-hashr kaa shaam-e-firaaq jhuuT uD jaanaa shor-e-naala se rang-e-sahar darogh har lahza tegh jaannaa abru kaa iftiraak har lamha zauq-e-qatl mein sar haath par darogh sar sang-e-dar se phoDnaa vahshat mein naa-subut gir jaanaa sail-e-ashk se divaar-o-dar darogh khun-e-jigar bajaae mai-e-naab naa-durust aatish-zani-e-shola-fishaan chashm-e-tar darogh jaan aur figaar-e-tir-e-mizha kis qadar ghalat dil aur asir-e-rishta-e-mu sar-ba-sar darogh be-jaan ho aur jiite ho furqat mein ikhtiraaa be-dil ho aur niyaaz-e-nigah hai jigar darogh TukDe nigaah-e-naaz se dil aap kaa durust vahm-e-nazar se duur hamaari kamar darogh uDtaa hai rang saath hi aavaaz-e-naaz ke chin-e-jabin se aap ko itnaa khatar darogh hai naa-sipaas-e-vasl dil-e-hijr-e-dost khabt hai paak-baaz chashm-e-haqiqat-nigar darogh kuche mein mere le ke sabaa aaegi bajaa tum khaak ho gae ho sar-e-rahguzar darogh ham ko talaash aap ki aur dar-ba-dar muhaal jazb-e-dil-o-jigar se umid-e-asar darogh ham aur naash uThaane ko aate khilaaf-e-aql marg-e-shab-e-firaaq ki har su khabar darogh ye zabt-e-vaza naam 'qalaq' qissa mukhtasar shaair ho har tarah hai tumhaaraa hunar darogh"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"maatam-e-did hai didaar kaa khvaahaan honaa jis qadar dekhnaa utnaa hi pashemaan honaa sakht dushvaar hai aasaan kaa aasaan honaa khun-e-fursat hai yahaan sar-ba-garebaan honaa teraa divaana to vahshat ki bhi had se niklaa ki bayaabaan ko bhi chaahe hai bayaabaan honaa kucha-e-ghair mein kyuun kar na banaaun ghar ko meri aabaadi se aabaad hai viraan honaa khaak-e-vahshi se agar rabt hai Thokar ko tiri daur-e-daaman se nahin daur-e-garebaan honaa na vo khuun hi hai jigar mein na vo rone kaa dimaagh mil gayaa khaak mein har ashk kaa tufaan honaa ji kaa ji hi mein rahaa harf-e-tamannaa afsos kahnaa kuchh aap hi aur aap pashemaan honaa dil se andaaz-e-shikan zulf ne sab jama kiye chheD kar us ko kahin tu na pareshaan honaa tujh ko armaan-e-kharaabi hai jo ai dehli aur siikh jaa ghar mein mire rah ke bayaabaan honaa dil hai ik qatra-e-khun jis pe ye siina zori kuchh samajhtaa hi nahin ham-saf-e-mizhgaan honaa mujh mein kuchh taab ho ai jaan to main be-taab rahun varna dushvaar hai is raaz kaa pinhaan honaa yaad-e-mizhgaan se idhar zakhm-e-jigar par khaanaa aur udhar shorish-e-dil se namak-afshaan honaa aaj vo vaqt 'qalaq' par hai ki juun ibn-e-khalil ghair taslim nahin qatl kaa aasaan honaa"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"na ho aarzu kuchh yahi aarzu hai faqat main hi main huun to phir tu hi tu hai na ye hai na vo hai na main huun na tu hai hazaaron tasavvur aur ik aarzu hai na ummid jhuTi na kuchh yaas sachchi nahin jo kahin bhi vahi chaar-su hai kise DhunDhte hain yahi DhunDhte hain yahi justuju hai agar justuju hai jagaaegaa kis tarah shor-e-qayaamat khamoshi se naa-chaar har guftugu hai khudi bhi hamaari khudaai sahi vahi ham-nashin hai vahi du-ba-du hai magar dashna thaa saaya-e-zulf-e-saaqi ki jo zakhm hai saaghar-e-mushk-bu hai"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"dosti us ki dushmani hi sahi dost to ho vo muddai hi sahi masti-o-bahs-e-uzr-e-kaffaara tauba se tauba ham ne ki hi sahi hai agar kuchh vafaa to kyaa kahne kuchh nahin hai to dil lagi hi sahi ji hai ye bin lage nahin rahtaa kuchh to ho shaghl-e-aashiqi hi sahi mohtasib khatm kijiye hujjat pi hai to khair ham ne pi hi sahi haif khamyaaz-haa-e-hasrat-o-shauq zindagaani kashaakashi hi sahi jaan de kar liyaa hai naam-e-vafaa maut bhi ham ne mol li hi sahi milte hain muddai se milne do ki miri naa-khushi khushi hi sahi bosa dene ki chiiz hai aakhir na sahi har ghaDi kabhi hi sahi qatl hote hain qatl hote hain ahd-e-dil daur-e-naadari hi sahi ai 'qalaq' naasehon se kyaa takraar maan ik baat maan li hi sahi"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"kyaa kahein tujh se ham vafaa kyaa hai soch kuchh dil mein puchhtaa kyaa hai dil hai ye yaa ki aabla kyaa hai kyuun hai itnaa bharaa huaa kyaa hai kaise kaise javaan kiye barbaad ishq kyaa shai hai ye balaa kyaa hai dil ko denaa thaa de diyaa zaalim aur ham ne tiraa liyaa kyaa hai gar raqaabat tumhein nahin mujh se phir ye aaina dekhnaa kyaa hai pahle rakh le tu apne dil par haath phir mire khat ko paDh likhaa kyaa hai ab vo aankhein nahin hain pahli si sach kaho tum ko ho gayaa kyaa hai shauq-e-aashiq-kushi bhalaa hi sahi rahm karnaa bhi par buraa kyaa hai kyaa kahein ham buraa ki khu hi nahin par kaho tum hi ye jafaa kyaa hai jab ki gardan pe khuun rahaa us ki naam mat lo ki khun-bahaa kyaa hai meri aur aarzu ko tu puchhe sochtaa huun ki muddaaa kyaa hai jaane kyaa kyaa huaa hai rizq-e-khaak gul-o-laala ko dekhtaa kyaa hai dil ajab chiiz hai to tum se aziiz rahne bhi do muaamla kyaa hai aage aage hain paara-haa-e-jeb mujh ko darkaar rahnumaa kyaa hai kam nigaahi bhi shart-e-husn hai par dekh tu ham mein ab rahaa kyaa hai qatl hote rahe hain ham se puchh le ke shamshir sochtaa kyaa hai pi gai khuun zamin hazaaron ki muft phir shokhi-e-hinaa kyaa hai donon aalam ko kyuun kiyaa paamaal naqsh-e-paa par ye naqsh-e-paa kyaa hai ai 'qalaq' kyuun qalandari chhoDi ye abaa kyaa hai ye qabaa kyaa hai"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"thak thak gae hain aashiq darmanda-e-fughaan ho yaarab kahin vo ghaflat fariyaad-e-be-kasaan ho yaa qahr hai vo shokhi yaa parda hai nazar kaa dil mein to us kaa ghar ho aur aankh se nihaan ho ye shor bhar rahaa hai fariyaad kaa jahaan mein jo baat lab pe aai ulTi phiri fughaan ho kis kis duaa ko maangein kyaa kyaa havas nikaalein ik jaan kidhar kidhar ho ik dil kahaan kahaan ho bargasht-agi-e-qismat ye chheD kyaa nikaali jo muddaaa-e-dil ho vo muddai-e-jaan ho maqdur tak to apne tujh se nibhaaeinge ham be-jaan-o-dil hain haazir gar qasd-e-imtihaan ho sayyaad main nahin huun gum-karda aashiyaan huun ai ham-safiro bolo kis jaa ho aur kahaan ho ai aah dil se uTh kar lab par hai kyaa taamul jaa shorish-e-zamin ho aashob-e-aasmaan ho miT miT ke bhi hamaaraa ik ban rahegaa saamaan ujDe agar bahaaraan aabaadi-e-khizaan ho jab baiThne pe aae ai zoaf baiTh rahiye phir kyaa hai ye takalluf us kaa hi aastaan ho tu hi rahegi bulbul yaa main hi is chaman mein yaa teraa hi ho qissa yaa meri daastaan ho mere sukhan mein kyaa hai kuchh khaal-o-khat bayaan hai par dil se us ke puchhe jo koi nukta-daan ho meraa salaam kahnaa jhuk kar 'qalaq' vahi hai us ki gali mein baiThaa mauzun saa jo javaan ho"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"tujhe kal hi se nahin be-kali na kuchh aaj hi se rahaa qalaq tiri umr saari yunhi kaTi tu hamesha yunhi jiyaa 'qalaq' huaa dil ke jaane kaa ab yaqin ki vo dard-e-bar mein mare nahin na vo iztiraab-e-qazaa kahin na vo hashr-khez balaa 'qalaq' mujhe hashr kar diyaa baiThnaa mujhe qahr ho gayaa Thaharnaa hai basaan-e-sabr gurez-paa nahin gham-gusaar miraa qalaq unhein naala karne kaa ranj kyaa unhein aah bharne kaa ranj kyaa unhein mere marne kaa ranj kyaa unhein mere jaane kaa kyaa qalaq yahi rashk ne diye mashvare kabhi parda un kaa na kholiye mire ji hi ji mein phiraa kiye mire dil hi dil mein rahaa qalaq na to roe ghair na ghar rahe na shab-e-firaaq mein mar rahe na vafaa kare na sitam sahe na jafaa hui na huaa qalaq na vo main rahaa na vo tu rahaa na vo aarzu na vo muddaaa huaa zindagi kaa bhi faisla magar ek teraa rahaa qalaq rahe laakh sadme nafas nafas jiye kyuun ki koi paraae bas shab-e-vasl marne ki thi havas shab-e-hijr jiine kaa thaa qalaq nahin chain un ko bhi ek dam ki hai fikr-e-jaur kaa gham saa gham hue mujh pe roz nae sitam rahaa un ko roz nayaa qalaq kare rabt koi kisi se kyaa ki uThaa tariq nibaah kaa na karegi tujh se vafaa jafaa na karegaa mujh se vafaa qalaq main jalaa to shoale mein josh thaa jo huaa main khaak hai zalzala main hazaar shakl badal chukaa pa kisi tarah na chhupaa qalaq nahin tere phirne kaa kuchh gila ki zamaana saaraa badal gayaa jo shab-e-visaal mein chain thaa vahi roz-e-hijr banaa qalaq vo hai iltifaat dam-e-sitam ki ziyaada is se nahin karam mire chaak-e-dil kaa rafu alam mire dard-e-jaan ki davaa qalaq gae vaan bhi par na ghaTaa alam chhuTe sab se par na chhuTaa alam mire paas se na haTaa alam mire saath se na Talaa qalaq abhi thaa salaa-e-zan-e-sabaq abhi thi kitaab-e-varaq-varaq kabhi madrase mein rahaa 'qalaq' kabhi mai-kade mein rahaa 'qalaq'"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"khushi mein bhi navaa-sanj-e-fughaan huun zamin-o-aasmaan kaa tarz-daan huun main apni be-nishaani kaa nishaan huun hujum-e-maatam-e-umr-e-ravaan huun tire jaate hi meri ziist tohmat nahin miltaa pataa apnaa kahaan huun ghubaar-e-kaarvaan-e-mor hai ziist ye khatt-e-yaar se aashufta-jaan huun nahin kuchh kaam bakht-o-aasmaan se main naakaami mein apni kaamraan huun nahin dam maarne kaa dam aur us par saraapaa shama saan shakl-e-zabaan huun khudaa hi gar na de maashuq-o-mai ko to kyuun phir mohtasib se sargiraan huun vahaan kaa rang-e-parraan aasmaan hai main jis aalam ki tasvir-e-gumaan huun koi aavaara mil jaae to puchhun kidhar se aayaa huun jaataa kahaan huun nikal jaataa hai ji har aarzu par pae-khun-e-javaani mein javaan huun miraa gham ishrat-e-rafta kaa naghma ki misl-e-gard bu-e-kaarvaan huun kavaakib-haa-e-qismat aasmaan par na huun kyuun nukta-chin main nukta-daan huun 'qalaq' be-raunaqi raunaq hai meri bahaar-e-umr-e-hasti ki khizaan huun"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"aap ke mahram asraar the aghyaar ki ham dil-e-ghamnaak ke tum rahte the gham-khvaar ki ham shikva-aalud nasihat nahin achchhi naaseh aap hain kushta-e-bedaad-e-sitamgaar ki ham hashr agar kahve madad-gaar hamaaraa hai kaun bol uThe saaf tiraa fitna-e-raftaar ki ham aap ki shaan kaa saamaan kahaan se aayaa yusuf-e-husn ke the aap kharidaar ki ham ham buraa ghair se milne ko samajhte the ki tum apne matlab ke hain aghyaar talabgaar ki ham haae be-rahmi-e-dil-daar se be-qadri jaan ziist se aap hamaari hue bezaar ki ham jaante ham hain buraa rabt jataane ko ki ghair honge mashhur havasnaak tire yaar ki ham qatl kyaa ho koi khanjar mein nahin tarz-e-nigaah daad ai ishq hai jallaad gunahgaar ki ham na mohabbat ki khabar us ko na ham ko us ki saadgi kah to sahi yaar hai ayyaar ki ham roz-o-shab mere phiraane ko phire jaataa hai charkh hai gardish-e-bekaar se naa-chaar ki ham ho ke paamaal Thikaane se lagi khaak apni tu hai aashufta sar-e-kucha-o-baazaar ki ham un ko tum chaahte ho aap ko ham chaahte hain laaeq-e-rahm hain farmaaiye aghyaar ki ham ai 'qalaq' paanv zamin par nahin rakhtaa maghrur charkh hai khaak-e-dar-e-haidar-e-karraar ki ham"
Q
Qalaq Merathi