SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAli Jawad Zaidi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ham-safar gum raaste naa-paid ghabraataa huun main ik bayaabaan dar bayaabaan hai jidhar jaataa huun main bazm-e-fikr o hosh ho yaa mahfil-e-aish o nashaat har jagah se chand nishtar chand gham laataa huun main aa gai ai naa-muraadi vo bhi manzil aa gai mujh ko kyaa samjhaaeinge vo un ko samjhaataa huun main un ke lab par hai jo halke se tabassum ki jhalak us mein apne aansuon kaa soz bhi paataa huun main shaam-e-tanhaai bujhaa de jhilmilaati sham' bhi in andheron mein hi aksar raushni paataa huun main himmat-afzaa hai har ik uftaad raah-e-shauq ki Thokarein khaataa huun girtaa huun sambhal jaataa huun main un ke daaman tak khud apnaa haath bhi baDhtaa nahin apnaa daaman ho to har kaanTe se uljhaataa huun main shauq-e-manzil ham-safar hai jazba-e-dil raahbar mujh pe khud bhi khul nahin paataa kidhar jaataa huun main"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"junun se raah-e-khirad mein bhi kaam lenaa thaa har ek khaar se izn-e-khiraam lenaa thaa faraaz-e-daar pe daaman kisi kaa thaam liyaa junun-e-shauq ko bhi intiqaam lenaa thaa hazaar baar nataaej se ho ke be-parvaa usi kaa naam liyaa jis kaa naam lenaa thaa ilaaj-e-tishna-labi sahl thaa magar saaqi jo dast-e-ghair mein hai kab vo jaam lenaa thaa junun ki raah mein tadbir-e-sarkhushi ke liye bas ek valvala-e-tez-gaam lenaa thaa shikasta laakh thi kashti hazaar thaa tufaan khayaal mein koi daaman to thaam lenaa thaa nasim ek ravish tak pahunch ke tham si gai ki naa-shagufta kali kaa payaam lenaa thaa shab-e-firaaq mein bhi kuchh diye chamakne lagein nigaah-e-shauq se itnaa to kaam lenaa thaa hazaar baar tiri bazm mein huaa mahsus liyaa jo ghair ne mujh ko vo jaam lenaa thaa main ek jura-e-masti pe sulh kyuun kartaa mujhe to jaam mein maah-e-tamaam lenaa thaa ghazab huaa ki in aankhon mein ashk bhar aae nigaah-e-yaas se kuchh aur kaam lenaa thaa kisi ne aag lagaai ho koi mujrim ho hamein to apne hi sar ittihaam lenaa thaa nigaah-e-shokh yahi fath aur kuchh hoti jo gir rahe the unhein baDh ke thaam lenaa thaa ye bazm-e-khaas kaa aish-e-do-roza kyaa hogaa gham-e-avaam se aish-e-davaam lenaa thaa"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"tai kar chuke ye zindagi-e-jaavedaan se ham aage baDheinge aur uThe hain jahaan se ham kis ko sadaa dein kis se kahein saath le chalo pichhe rahe ghubaar-e-rah-e-kaarvaan se ham dil mein jo dard hai vo nigaahon se hai ayaan ye baat aur hai na kahein kuchh zabaan se ham chaunkaa diyaa qafas ne hamein gahri niind se vaabasta ho chale the bahut aashiyaan se ham gar aa bhi jaae meri jabin tak vo aastaan laaeinge sajda-rezi ki aadat kahaan se ham faiz-e-junun se fursat-e-fariyaad hi na thi naa-aashnaa hi rah gae tarz-e-fughaan se ham dekhi hain ham ne un ki pashimaan-nigaahiyaan kahnaa ho laakh phir bhi kahein kis zabaan se ham"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"dabi aavaaz mein karti thi kal shikve zamin mujh se ki zulm o jaur kaa ye bojh uTh saktaa nahin mujh se agar ye kashmakash baaqi rahi jahl o tamaddun ki zamaana chhin legaa daulat-e-ilm-o-yaqin mujh se tumhin se kyaa chhupaanaa hai tumhaari hi to baatein hain jo kahti hai tamannaa ki nigaah-e-vaapsin mujh se nigaahein chaar hote hi bhalaa kyaa hashr uTh jaataa yaqinan is se pahle bhi mile hain vo kahin mujh se dikhaa di main ne vo manzil jo in donon ke aage hai pareshaan hain ki aakhir ab kahein kyaa kufr o diin mujh se ye maanaa zarra-e-aavaara-e-dasht-e-vafaa huun main nibhaanaa hi paDegaa tujh ko duniyaa-e-hasin mujh se sar-e-manzil pahunch kar aaj ye mahsus hotaa hai ki laakhon laghzishein har gaam par hoti rahin mujh se udhar saari tamannaaon kaa markaz aastaan un kaa idhar barham tamannaa par miri sarkash jabin mujh se"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"ghair puchhein bhi to ham kyaa apnaa afsaana kahein ab to ham vo hain jise apne bhi begaana kahein vo bhi vaqt aayaa ki dil mein ye khayaal aane lagaa aaj un se ham gham-e-dauraan kaa afsaana kahein kyaa pukaare jaaeinge ham aise divaane vahaan hosh-mandon ko bhi jis mahfil mein divaana kahein shab ke aakhir hote hote donon hi jab jal bujhe kis ko samjhein sham-e-mahfil kis ko parvaana kahein aur kuchh kahnaa to gustaakhi hai shaan-e-shaikh mein haan magar naa-vaaqif-e-aadaab-e-mai-khaana kahein aaj tanhaai mein phir aankhon se Tapkaa hai lahu ji ke bahlaane ko aao apnaa afsaana kahein un se raunaq qatl-gah ki un se garmi bazm ki kahne vaale ahl-e-dil ko laakh divaana kahein hain baham mauj-e-sharaab o sail-e-ashk o ju-e-khun laaiq-e-sajda hai jis ko khaak-e-mai-khaana kahein un ki is chin-e-jabin kaa kuchh taqaazaa ho magar kyaa gham-e-dil ki haqiqat ko bhi afsaana kahein"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"aish hi aish hai na sab gham hai zindagi ik hasin sangam hai jaam mein hai jo mishal-e-gul-rang teri aankhon kaa aks-e-mubham hai ai gham-e-dahr ke giraftaaro aish bhi sarnavisht-e-aadam hai nok-e-mizhgaan pe yaad kaa aansu mausam-e-gul ki sard shabnam hai dard-e-dil mein kami hui hai kahin tum ne puchhaa to kah diyaa kam hai miTti jaati hai banti jaati hai zindagi kaa ajiib aalam hai ik zaraa muskuraa ke bhi dekhein gham to ye roz roz kaa gham hai puchhne vaale shukriya teraa dard to ab bhi hai magar kam hai kah rahaa thaa main apnaa afsaana kyuun tiraa daaman-e-mizha nam hai gham ki taarikiyon mein ai 'zaidi' raushni vo bhi hai jo maddham hai"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"ahl-e-zaahir ko fann-e-jalva-gari ne maaraa ahl-e-baatin ko tavaanaa-nazari ne maaraa talkh thi maut magar ziist se shirin-tar thi us se puchho jise be-baal-o-pari ne maaraa mundamil hote hue zakhm hare hone lage saae saae mein tiri ham-safari ne maaraa dasht-e-ghurbat ke shab-o-roz ki lazzat na mili sar vatan mein bhi bahut dar-ba-dari ne maaraa ishq aur dast-e-talab aisi bhi kyaa majburi shauq ko kaavish-e-daryuza-gari ne maaraa zakhm-e-paarina bharaa hi thaa ki ai sozan-e-haal aur ik tiir tiri bakhiya-gari ne maaraa daad-o-shamshir ne jab jab bhi Daraanaa chaahaa qahqaha shauq ki shorida-sari ne maaraa sulh karnaa to zamaane se hai aasaan lekin mujh ko 'zaidi' miri baaligh-nazari ne maaraa"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"khalaa-e-fikr kaa ehsaas arz-e-fan se milaa barahnagi mein nayaa lutf pairahan se milaa qadam qadam pe uge zakhm-e-aarzu bhi hazaar hazaar rang-e-tamaashaa bhi is chaman se milaa baDhaa ke haath kahin uljhanein hi chhin na lein vo jaam bhi jo mujhe shaam-e-anjuman se milaa sahar ko be-khili kaliyon mein DhunDhti hai kiran jo lutf-e-jalva lajaai hui dulhan se milaa usi ke sog mein baiThaa huaa huun muddat se jo ek zakhm rafiqaan-e-ham-vatan se milaa ghuru-e-khush-nazari naazish-e-aqida-o-rang hazaar rog usi zom-e-maa-o-man se milaa hujum-e-yaas mein tahzib-e-nafs kaa aahang tiri hi narm-khiraami ke baankpan se milaa vo hausla jo nai raah ki talaash mein hai gali gali mein bhaTakti hui kiran se milaa har ek haal mein jiine kaa jagmagaane kaa shauq andheri shab mein sitaaron ki anjuman se milaa ishaara fikr ko mahmez hashr-parvar kaa khataa muaaf ho tere hi baankpan se milaa ab is shuur ko mahsur-e-zaat kaise karun shuur zaat ki 'zaidi' baDe jatan se milaa"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"kitne dil TuuTe hain duniyaa kaa khabar hone tak kitne sar phuTe hain divaar mein dar hone tak ek kaanTaa jo nikaltaa hai to sau chubhte hain amn thaa hausla-e-fikr-o-nazar hone tak ham ne apne se bhi sau baar mohabbat ki hai haan magar dil mein kisi shokh kaa ghar hone tak ab kahin raqs-e-junun hai to kahin naghma-e-khun kitni suuni thi fazaa zer-o-zabar hone tak aaj suntaa huun vahi naqsh-e-qadam chumte hain jo bahut khush the mire shahr-badar hone tak aankhon aankhon mein bhi kaT jaae to ham raazi hain ye andhere hai bas ik raat basar hone tak jab jhulas degaa zamaana to na ummid na yaas shaakh ko khauf hai be-barg-o-samar hone tak is qayaamat kaa jo puchho to koi naam nahin ham pe jo biit gai tum ko khabar hone tak ik kiran phuTegi ik shokh havaa sankegi isi ummid mein jaage hain sahar hone tak aur ik naara-e-mastaana ki mahfil jaage aur ik jaam zamaane ko khabar hone tak un ke honTon pe vo maasum tabassum ki shaguft shola-e-narm bani lams-e-nazar hone tak meri barbaadi bhi ik hashr hai lekin 'zaidi' irtiqaa raqs mein hai hashr-e-digar hone tak"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"tire dayaar mein koi gham-aashnaa to nahin magar vahaan ke sivaa aur raastaa to nahin simaT ke aa gai duniyaa qarib-e-mai-khaana koi bataao yahi khaana-e-khudaa to nahin labon par aaj tabassum ki mauj machli hai koi mujhe kisi goshe se dekhtaa to nahin banaa lein raah isi khaar-zaar se ho kar junun-e-shauq kaa ye faisla buraa to nahin sabab ho kuchh bhi tire infiaal kaa lekin miri shikast se pahle kabhi huaa to nahin na reg-e-garm na kaanTe na raahzan na ghanim ye raasta kahin ghairon kaa raasta to nahin dayaar-e-sajda mein taqlid kaa rivaaj bhi hai jahaan jhuki hai jabin un kaa naqsh-e-paa to nahin khayaal-e-saahil o fikr-e-tabaah-kaari-e-mauj ye sab hai phir bhi tamannaa-e-naakhudaa to nahin"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"hai vahi maarka-e-neki-o-shar mere baad tham na jaaein kahin yaaraan-e-safar mere baad kam hain aise jo karein arz-e-hunar mere baad aaj ghamnaak se hain ahl-e-nazar mere baad chand saaat ke liye ruk bhi gayaa ro bhi liyaa kaarvaan phir bhi hai sargarm-e-safar mere baad jazb thiin jis mein mire khun-e-vafaa ki chhinTein ban gayaa sajda-gah-e-khalq vo dar mere baad hijr ki raat laraztaa hi rahaa palkon par qatra-e-ashk banaa najm-e-sahar mere baad shaayad ai dost tamaashaaon ke hangaamon mein yaad aae miri mohtaat nazar mere baad aaj anjaan bano bhuul bhi jaao lekin kyaa karoge miri yaad aae agar mere baad kyuun bichhaate ho miri raah mein kaanTe yaaro khair jaari se badal jaaegaa shar mere baad ab bhi shor-e-qadam-e-raah-ravaan hai to vahi phir bhi suuni hai tiri raahguzar mere baad kyaa koi aur banaataa thaa nasheman apnaa phir usi shaakh pe hai raqs-e-sharar mere baad ik miri yaad ki mashal ke sivaa kuchh bhi na ho raat is tarah se bhi hogi basar mere baad ye tamavvuj ye talaatum ye shahaadat ye shuhud khatm hai manzil-e-avval kaa safar mere baad ashk aankhon mein bhare us ne bhi dekhaa 'zaidi' aaj mahfil ko ba-andaaz-e-digar mere baad"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"masti-e-gaam bhi thi ghaflat-e-anjaam ke saath do ghaDi khel liye gardish-e-ayyaam ke saath tishna-lab rahne pe bhi saakh to thi shaan to thi vaz-e-rindaana gai ik talab-e-jaam ke saath jab se hangaam-e-safar ashkon ke taare chamke talkhiyaan ho gaiin vaabasta har ik shaam ke saath ab na vo shorish-e-raftaar na vo josh-e-junun ham kahaan phans gae yaaraan-e-subuk-gaam ke saath uD chuki hain sitam-aaraaon ki nindein aksar aap suniye kabhi afsaana ye aaraam ke saath is mein saaqi kaa bhi dar-parda ishaara to nahin aaj kuchh rind bhi the vaaiz-e-badnaam ke saath ghair ki tarah mile ahl-e-haram ai 'zaidi' mujh ko yak-go na aqidat jo thi asnaam ke saath"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"raah-e-ulfat mein mile aise bhi divaane mujhe jo maaal-e-dosti aae the samjhaane mujhe ishq ki halki si pahli aanch hi mein jal bujhe kyaa bhalaa dard-e-vafaa deinge ye parvaane mujhe ye to kahiye be-khudi se mil gai kuchh aagahi varna dhokaa de diyaa thaa chashm-e-binaa ne mujhe naa-muraadi luuT hi leti mataa-e-aarzu ik sahaaraa de diyaa ehsaas-e-fardaa ne mujhe kis se kahtaa dil ki baatein kis se suntaa un kaa raaz bazm mein to sab nazar aate hain begaane mujhe tauba tauba naa-ummidi ki khayaal-aaraaiyaan dekhte hon jaise khud lalchaa ke paimaane mujhe meraa ik adnaa saa partav hai nizaam-e-kaaenaat kyaa samajh rakkhaa hai is mahdud duniyaa ne mujhe jab kabhi dekhaa hai ai 'zaidi' nigaah-e-ghaur se har haqiqat mein mile hain chand afsaane mujhe"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"zulmat-kadon mein kal jo shuaa-e-sahar gai taariki-e-hayaat yakaayak ubhar gai nazzaara-e-jamaal ki fursat kahaan mili pahli nazar nazar ki hadon se guzar gai izhaar-e-iltifaat ke baad un ki be-rukhi ik rang aur naqsh-e-tamannaa mein bhar gai zauq-e-junun o jazba-e-bebaak kyaa mile viraan ho ke bhi miri duniyaa sanvar gai ab daur-e-kaarsaazi-e-vahshat nahin rahaa ab aarzu-e-lazzat-e-raqs-e-sharar gai ik daagh bhi jabin pe meri aa gayaa to kyaa shokhi to un ke naqsh-e-qadam ki ubhar gai taare se jhilmilaate hain mizhgaan-e-yaar par shaayad nigaah-e-yaas bhi kuchh kaam kar gai tum ne to ik karam hi kiyaa haal puchh kar ab jo guzar gai mire dil par guzar gai jalve hue jo aam to taab-e-nazar na thi parde paDe hue the jahaan tak nazar gai saaraa qusur us nigah-e-fitna-ju kaa thaa lekin balaa nigaah-e-tamannaa ke sar gai"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"go vasia sahraa mein ik haqir zarra huun rah-ravi mein sarsar huun raqs mein bagulaa huun har samudr-manthan se zahr hi nikaltaa hai main ye zahr jivan kaa hans ke pi bhi saktaa huun ye bhari-puri dharti ik anant melaa hai aur saare mele mein jaise main akelaa huun yuun to phuul phabtaa hai har hasin joDe par jis ne chun liyaa mujh ko main usi kaa belaa huun kal har ek jalve mein laakh jalve paidaa the main ki thaa tamaashaai aaj khud tamaashaa huun zindagi ke raston par zakhm-khurda divaana kah rahaa thaa 'zaidi' se main bhi aap jaisaa huun"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"ik aah-e-zer-e-lab ke gunahgaar ho gae ab ham bhi daakhil-e-saf-e-aghyaar ho gae jis dard ko samajhte the ham un kaa faiz-e-khaas us dard ke bhi laakh kharidaar ho gae jin hauslon se meraa junun mutmain na thaa vo hausle zamaane ke meyaar ho gae saaqi ke ik ishaare ne kyaa sehr kar diyaa ham bhi shikaar-e-andak-o-bisyaar ho gae ab un labon mein shahad o shakar ghul gae to kyaa jab ham halaak-e-talkhi-e-guftaar ho gae har vaada jaise harf-e-ghalat thaa saraab thaa ham to nisaar-e-jurat-e-inkaar ho gae teri nazar payaam-e-yaqin de gai magar kuchh taaza vasvase bhi to bedaar ho gae is mai-kade mein uchhli hai dastaar baar-haa vaaiz yahaan kahaan se numudaar ho gae sarsabz pattiyon kaa lahu chuus chuus kar kitne hi phuul raunaq-e-gulzaar ho gae 'zaidi' ne taaza sher sunaae ba-rang-e-khaas ham bhi fidaa-e-shokhi-e-inkaar ho gae"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"gulon ki chaah mein tauhin-e-barg-o-baar na kar bhare chaman mein ye saamaan-e-intishaar na kar khizaan riyaaz-e-chaman hai khizaan gudaaz-e-chaman khizaan kaa Dar ho to phir khvaahish-e-bahaar na kar bas ek dil hai yahaan vaaqif-e-nasheb-o-faraaz vafaa ki raah mein rahbar kaa intizaar na kar hujum-e-gham mein tabassum kaa khel dekh liyaa main kah rahaa thaa mire gham kaa e'tibaar na kar kahaa ye ishq se daar-o-salib-e-zindaan ne majaal ho to miri raah ikhtiyaar na kar ye taaza taaza qafas kyaa khizaan se kuchh kam hain hujum-e-gul hi se andaaza-e-bahaar na kar nasim-e-subh unhein muskuraa to lene de abhi gulon se koi zikr-e-naagavaar na kar udhar har ek nazar mein hai hasraton kaa julus idhar ye hukm-e-hayaa hai nigaahein chaar na kar ye puchhnaa hai kisi din janaab-e-'zaidi' se ki aap ne to kahaa thaa kisi se pyaar na kar"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"barham-zan-e-shiraaza-e-ayyaam hamin hain ai dard-e-mohabbat tiraa anjaam hamin hain is qaafila-e-shauq mein ye vahm hai sab ko aavaara-o-sar-gashta-o-naakaam hamin hain honge kai gardan-zadani aur bhi lekin is shahr-e-nigaaraan mein to badnaam hamin hain ham dhuup mein tapte to panap jaate magar ab daryuza-gar-e-mehr-e-lab-e-baam hamin hain kyaa aan thi naakaami-e-tadbir se pahle ab laaeq-e-fahmaaish-e-dushnaam hamin hain haq naqd-e-masarrat kaa agar hai to hamin ko kuchh nabz-shanaas-e-gham-o-aalaam hamin hain jis tak koi koi abhi pahunchaa hi nahin hai vo mashal-e-be-nur sar-e-shaam hamin hain inkaar hi sar-chashma-e-imaan-o-yaqin hai ab roz-e-jazaa laaeq-e-inaam hamin hain kaliyon se dam-e-subh jo 'zaidi' ne sunaa thaa fitrat kaa vo naa-gufta saa paighaam hamin hain"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"hai khamosh aansuon mein bhi nashaat-e-kaamraani koi sun rahaa hai shaayad miri dukh bhari kahaani yahi thartharaate aansu yahi nichi nichi nazrein yahi un ki bhi nishaani yahi apni bhi nishaani ye nizaam-e-bazm-e-saaqi kahin rah sakegaa baaqi ki khushi to chand lamhe gham o dard jaavedaani hain vajud-e-shai mein pinhaan azal o abad ke rishte yahaan kuchh nahin do roza koi shai nahin hai faani tiri baat kyaa hai vaaiz miraa dil vo hai ki jis ne isi mai-kade mein aksar miri baat bhi na maani pai-e-raf-e-bad-gumaani main vafaa barat rahaa thaa miri pai-ba-pai vafaa se baDhi aur bad-gumaani miraa mai-kada salaamat ki har ek qaid uThaa di na to dair ki ghulaami na haram ki paasbaani karun un se laakh shikve magar un se shikva karnaa na tariqa-e-mohabbat na rivaayat-e-javaani"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"ik aah-e-zer-e-lab ke gunahgaar ho gae ab ham bhi daakhil-e-saf-e-aghyaar ho gae jis dard ko samajhte the ham un kaa faiz-e-khaas us dard ke bhi laakh kharidaar ho gae jin hauslon se meraa junun mutmain na thaa vo hausle zamaane ke meaar ho gae har vaada jaise harf-e-ghalat thaa saraab thaa ham to nisaar-e-jurat-e-inkaar ho gae sarsabz pattiyon kaa lahu chuus chuus kar kitne hi phuul raunaq-e-gulzaar ho gae 'zaidi' ne taaza sher sunaae ba-rang-e-khaas ham bhi khudaa-e-shokhi-e-afkaar ho gae"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"aankh kuchh be-sabab hi nam to nahin ye kahin aap kaa karam to nahin ham ne maanaa ki raushni kam hai phir bhi ye subh shaam-e-gham to nahin 'ishq mein bandishein hazaar sahi bandish-e-daana-o-diram to nahin thaa kahaan 'ishq ko saliqa-e-gham vo nazar maail-e-karam to nahin monis-e-shab rafiq-e-tanhaai dard-e-dil bhi kisi se kam to nahin vo kahaan aur kahaan sitamgaari kuchh bhi kahte hon log ham to nahin shikve ki baat aur hai varna lutf-e-paiham koi sitam to nahin dekh ai qissa-go-e-ranj-e-firaaq nok-e-mizhgaan-e-yaar nam to nahin un ke dil se savaal kartaa hai ye tabassum sharik-e-gham to nahin"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"zarra-e-naa-tapida ki khvaahish-e-aaftaab kyaa naghma-e-naa-shunida kaa hausla-e-rabaab kyaa umr kaa dil hai muzmahil ziist hai dard-e-mustaqil aise nizaam-e-dahr mein vasvasa-e-azaab kyaa naghma ba-lab hain kiyaariyaan raqs mein zarra-e-tapaan sun liyaa kisht-e-khushk ne zamzama-e-sahaab kyaa chehra-e-shab damak uThaa surkh shafaq jhalak uThi vaqt-e-tulu kah gayaa jaane aaftaab kyaa rindon se baaz-purs ki pir-e-mughaan se dil-lagi aaj ye mohtasib ne bhi pi hai kahin sharaab kyaa shama thi laakh adh-jali bazm mein raushni to thi varna gham-e-nashaat mein raushni-e-gulaab kyaa ghair ki rah-guzar hai ye dost ki rah-guzar nahin kaun uThaaegaa tujhe dekh rahaa hai khvaab kyaa muddaton se khalish jo thi jaise vo kam si ho chali aaj mire savaal kaa mil hi gayaa javaab kyaa haan tiri manzil-e-muraad duur bahut hi duur hai phir bhi har ek moD par dil mein ye iztiraab kyaa"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"nayaa mai-kade mein nizaam aa gayaa uThin bandishein izn-e-aam aa gayaa nazar mein vo kaif-e-davaam aa gayaa ki goyaa kisi kaa payaam aa gayaa mohabbat mein vo bhi maqaam aa gayaa ki mizhgaan pe khuun lab pe naam aa gayaa sar-e-raah kaanTe bichhaataa hai shauq junun ko bhi kuchh ehtimaam aa gayaa na ilzaam un par na aghyaar par ye dil aap hi zer-e-daam aa gayaa badal hi gayaa bazm-e-ishrat kaa rang miraa naghma-e-dard kaam aa gayaa kidhar se ye sanki mahakti havaa kidhar se vo naazuk-khiraam aa gayaa tamaashaa nahin thaa miraa iztiraab koi kyuun ye baalaa-e-baam aa gayaa bayaan ho rahaa thaa fasaana miraa magar baar-baar un kaa naam aa gayaa kabhi saamne kuchh khamoshi rahi kabhi duur se kuchh payaam aa gayaa jo daar-o-rasan se bhi ruktaa nahin saron mein vo saudaa-e-khaam aa gayaa vo 'zaidi' vahi rind-e-aatish-navaa vo zinda dilon kaa imaam aa gayaa"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi
Quote
"shikve ham apni zabaan par kabhi laae to nahin haan magar ashk jab umDe the chhupaae to nahin teri mahfil ke bhi aadaab ki dil Dartaa hai meri aankhon ne durr-e-ashk luTaae to nahin chhaan li khaak bayaabaanon ki viraanon ki phir bhi andaaz-e-junun aql ne paae to nahin laakh pur-vahshat o pur-haul sahi shaam-e-firaaq ham ne ghabraa ke diye din se jalaae to nahin ab to is baat pe bhi sulh si kar li hai ki vo na bulaae na sahi dil se bhulaae to nahin hijr ki raat ye har Dubte taare ne kahaa ham na kahte the na aaeinge vo aae to nahin inqilaab aate hain rahte hain jahaan mein lekin jo banaane kaa na ho ahl miTaae to nahin apni is shokhi-e-raftaar kaa anjaam na soch fitne khud uThne lage tu ne uThaae to nahin"
Ali Jawad ZaidiAli Jawad Zaidi