Quote
"sarguzisht-e-gham ko mohtaaj-e-bayaan paataa huun main kyon zabaan-e-shauq ko ab be-zabaan paataa huun main hai vahi kaifiyyat-e-be-taabi-e-mauj-e-nazar husn ke jalvon ko bahr-e-bekaraan paataa huun main daastaan-e-ishq meri zinat-e-kaun-o-makaan jis ke kuchh TukDe yahaan aur kuchh vahaan paataa huun main ishq ban kar kholtaa huun husn ke sar-basta raaz fitrat-e-aalam kaa khud ko tarjumaan paataa huun main apni hasti kaa mujhe ehsaas jab se ho chalaa sar ko apne dosh par baar-e-garaan paataa huun main har shikast-e-aarzu hai taaza-tar tamhid-e-shauq aur kuchh ab apni himmat ko javaan paataa huun main khizr-e-rah bantaa chalaa har sang-e-zer-e-paa miraa Thokarein khaa khaa ke manzil kaa nishaan paataa huun main maavaraa-e-qaid-e-rang-o-bu hai imkaan-e-nigaah daaman-e-sahraa mein husn-e-gulsitaan paataa huun main kis qadar unchi hai 'najmi' meri parvaaz-e-khayaal har zamin-e-sher ko ab aasmaan paataa huun main"







