SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAsrar Zaidi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"dil-e-shikasta bhi thaa koi raazdaan bhi na thaa vo mehrbaan sahi par itnaa mehrbaan bhi na thaa rivaayaton ke tilismaat toD kar ye khulaa gham-e-zamaana koi jaur-e-aasmaan bhi na thaa muaamalaat gham-e-dosti salaamat-baash vo e'tibaar ki andesha-e-gumaan bhi na thaa zamaana-saaz kabhi taba-e-mah-rukhaan bhi na thi ki is mizaaj kaa andaaz-e-dil-baraan bhi na thaa mohabbaton ke qarine badal gae aakhir main is ke dar pe jo pahunchaa to paasbaan bhi na thaa tamaam shahr pe taari hai kaisaa sannaaTaa sukut-e-subh mein aavaaza-e-azaan bhi na thaa"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi
Quote
"aane vaali kal ki de kar khabar gayaa ye din bhi maah-e-visaal ki shiryaanon mein utar gayaa ye din bhi lamha lamha saaat saaat pal pal mein taqsim huaa reza reza hote hote bikhar gayaa ye din bhi us ki taabaani par kitne hi suraj qurbaan hue apne hone kaa dukh sah kar magar gayaa ye din bhi sard havaa kaa jhonkaa thaa jo sannaaTo ko chiir gayaa kitne dilon par dastak de kar guzar gayaa ye din bhi ham to apni nindon mein khvaabon ko jagaa kar khvaar hue mauj-e-saraab mein Dhal kar jaane kidhar gayaa ye din bhi"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi
Quote
"be-sadaa kyunkar huaa be-dast-o-paa kyunkar huaa main qafas mein bhi na thaa phir bhi rihaa kyunkar huaa aashnaa jitne bhi the naa-aashnaa kyunkar hue haadisa ye bhi huaa kaise huaa kyunkar huaa subh ki pahli kiran mehr-e-munavvar kab hui har bagula mauja-e-baad-e-sabaa kyunkar huaa baam-o-dar par jaa-ba-jaa parchhaaiyon ke aks the ghar kaa ye manzar bhi lekin khushnumaa kyunkar huaa Dubnaa Thahraa to phir kachche ghaDe ki shart kyaa vo sadaa kaa sang-dil dard-aashnaa kyunkar huaa shoabada-baazi kahaan kaar-e-masihaai hui aadmi jab aadmi Thahraa khudaa kyunkar huaa khaamushi kitne hi jazbon kaa pata deti rahi naala gar paaband-e-nai thaa naa-rasaa kyunkar huaa"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi
Quote
"ghar ki surat jo bhi ho us par hiraasaan main nahin dar muqaffal hain to divaaron se larzaan main nahin tujh mein himmat hai so phir shishe mein mujh ko bhi utaar haan magar ye jaan le itnaa bhi aasaan main nahin nafraton ki tah mein kitni chaahatein hain ye to soch tu gurezaan ho to ho tujh se gurezaan main nahin raushni dil mein agar ho ik sitaara hi bahut Dubte suraj ke manzar se pareshaan main nahin main ki apni zaat mein shoala bhi huun shabnam bhi huun phir bhi apne-aap se dast-o-garebaan main nahin raaste ke pech-o-kham mere lahu ki taak mein bakht ke andhe kuein mein paa-ba-jaulaan main nahin mausamon ki dhuup se kajlaa gayaa chehre kaa rang aadmi huun be-niyaam-e-barq-o-tufaan main nahin sochtaa huun kis kharaabe mein mujhe laayaa gayaa apne hone par ba-har-surat pashemaan main nahin"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi
Quote
"vajh-e-qaraar-o-raahat-e-dil-zadagaan hai tu ki main lafz-e-yaqin hai tu ki main harf-e-gumaan hai tu ki main teraa bhi aastaan vahi meraa bhi aashiyaan vahi us ki sahar hai tu ki main us ki azaan hai tu ki main jis ki taraash ke liye khud ko lahu lahu kiyaa ab usi rahguzaar kaa sang-e-giraan hai tu ki main apni khabar se be-khabar apni hi zaat se mafar apni hi daastaan kaa ik harf-e-ziyaan hai tu ki main jis ki nazar mein khaar hai arz-e-vatan ki aabru us kaa hadaf hai tu ki main us ki kamaan hai tu ki main"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi
Quote
"basti basti ghor andheraa suunaa suunaa jaada thaa shab ke pichhle-pahar kaa sannaaTaa kuchh aur ziyaada thaa sehn-e-chaman mein ravish ravish par aas ke phuul ugaae the lekin ye mahsus huaa har manzar pesh-uftaada thaa lafz koi aaseb na the log us ki sadaa se kyuun Darte vaqt ke andhe kunein kaa ye aashob to sidhaa-saada thaa jiite jaagte phuul badan mein kaise kaise rog lage dil kaa kyaa hai dil to apne khvaabon kaa shahzaada thaa maslihatein aaDe aaein yaa ahl-e-junun dil chhoD gae jo honaa hai aaj ho jaae dil is par aamaada thaa"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi
Quote
"yuun paaband-e-salaasil ho kar kaun phire baazaaron mein khud hi qaid na ho jaaein kyuun apni hi divaaron mein raat ke lamhon ki sangini dil ko Dasti rahti hai jism sulagtaa rahtaa hai tanhaai ke angaaron mein raushniyon ke shahr andheron ke jaadu mein Duub gae bujhne lagi ho nuur ki mashal jaise chaand-sitaaron mein dard ke tapte sahraa mein ik aabla-paa sar-gardaan hai tum ko kyaa tum jashn manaao khushiyon ke gahvaaron mein main koi suqraat na thaa jo zahr kaa pyaala pi jaataa main khud kaise Duub sakungaa apne lahu ki dhaaron mein shahr ki raahein raqs-kunaan hain rang fazaa mein bikhraa hai kitne chehre saje hue hain in chamkili caron mein"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi
Quote
"zabt-e-ulfat kaa yahi ham ko silaa mil jaae dasht mein aur koi aabla-paa mil jaae aagahi aur kai naqsh banaa sakti hai tum jo insaan ko DhunDo to khudaa mil jaae yahi behtar hai ki khud raah mein gum ho jaaein is se pahle ki koi raah-numaa mil jaae aao zanjir ki jhankaar pe ham raqs karein kyaa taajjub jo yunhi jins-e-vafaa mil jaae isi dhun mein to ham aavaara phiraa karte hain kahin shaayad tire aanchal ki havaa mil jaae ab tiraa dhyaan hai yuun jaise andheri shab mein ittifaaqan koi miTTi kaa diyaa mil jaae"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi
Quote
"afsaana-e-gham yuun bhi dil-e-zaar kahaa hai ik baar jo puchhaa hai to sau baar kahaa hai jo baat tiri bazm mein ham kah na sake the us baat ko logon ne sar-e-daar kahaa hai mamnun hain us shokh ke ai baad-e-sabaa ham phulon ki zabaani jo hamein pyaar kahaa hai mumkin hai usi raah se manzil pe pahunch jaaein dil vaalon ne jis raah ko dushvaar kahaa hai vo fakhr-e-masihaa hai magar ahl-e-khirad ne hairat hai use nargis-e-bimaar kahaa hai arzaan hui yuun jins-e-mohabbat ki jahaan mein ham se tahi-daamaan ko kharidaar kahaa hai"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi
Quote
"yuun har ik dard kaa saudaa to nahin ho saktaa main tire shahr mein rusvaa to nahin ho saktaa mere bas mein to na thaa zakhm pe marham rakhnaa har koi shakhs masihaa to nahin ho saktaa main tire dard ko mahsus to kar saktaa huun main tire gham kaa mudaavaa to nahin ho saktaa raat be-chaand munavvar to nahin ho sakti ghar mein be-shama ujaalaa to nahin ho saktaa haadisa ye hai ki patthar nahin insaan huun main dil miraa laala-e-sahraa to nahin ho saktaa tum bhi maanoge ki har baat ki had hoti hai roz yuun vaada-e-fardaa to nahin ho saktaa"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi
Quote
"TuuTe hue peD gin rahaa huun main apne paron ko dekhtaa huun lab-basta huun phir bhi boltaa huun yaar khud se nabard-aazmaa huun basti koi rah na jaae baaqi dar dar pe sadaa lagaa chukaa huun honTon pe sukut khaamushi hai lamhon ke hisaar mein ghiraa huun raste hain tamaam aTe aTe se main kaise kahun gurez-paa huun ai nahr-e-furaat de gavaahi pyaason kaa khiraaj maangtaa huun shaayad koi shahsavaar nikle sahraa pe kamand Daaltaa huun khud par yaqin uTh chalaa hai ab raat Dhali to so gayaa huun"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi
Quote
"raabta TuuT na jaae kahin khud-bini se dil laraz uTThaa hai maahaul ki sangini se hausla hai to saraabon mein utar kar dekho zinda rahnaa to ibaarat hai khush-aaini se ab sar-e-aakhir-e-shab laae ho suraj ki khabar yuun tamaashaa na karo subh ki rangini se na burudat thi na hiddat thi ajab mausam thaa choT khaayaa kiye ham apni hi kaj-bini se aankh pathraai hui aur zabaan gung ki jab zarf miTTi ke bane aur badan chini se dard talkhaaba-e-ehsaas mein zam ho ke rahaa qatl-gah paT gai alfaaz ki shirini se saamne aa ke jo vo haath milaae to sahi mujh ko haul aataa hai us shakhs ki miskini se"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi
Quote
"anjaane logon ko har su chaltaa phirtaa dekh rahaa huun kaisi bhiiD hai phir bhi khud ko tanhaa tanhaa dekh rahaa huun divaaron se rauzan rauzan kyaa kyaa manzar ubhre hain suraj ko bhi duur ufuq par jaltaa bujhtaa dekh rahaa huun jis ko apnaa ruup diyaa aur jis ke har dam khvaab bune kab se main us aane vaale kal kaa rastaa dekh rahaa huun subhon ki peshaani par ye kaisi syaahi phaili hai apni anaa ko har lamhe suuli par chaDhtaa dekh rahaa huun aaine mein kyaa dekhun jab har chehra aaina hai us kaa chehra dekh rahaa huun apnaa chehra dekh rahaa huun"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi
Quote
"jab bhi saamaan-e-sukun-e-dil-o-jaan hone lagaa choT khaai thi kabhi is kaa gumaan hone lagaa ab tiri anjuman-e-naaz koi raaz nahin ab miraa dard bhi lafzon mein bayaan hone lagaa ziist kyaa chiiz hai koi bhi na pahchaan sakaa surkh-ru kaun huaa kis kaa ziyaan hone lagaa shoala-e-gul ne liyaa daaman-e-gulchin se khiraaj khud bahaaron ko bhi ehsaas-e-khizaan hone lagaa chaaragar chaak-garebaan ki khabar lene lage aam phir shikva-e-bedaad-garaan hone lagaa vaqt ke saath to ehsaas bhi miT jaataa hai kis ko maalum ki ab dard kahaan hone lagaa kisi tufaan ki aamad hai khudaa khair kare mehrbaan ham pe jo vo dushman-e-jaan hone lagaa"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi
Quote
"yuun to vo mujh se sivaa meraa bhalaa chaahtaa hai jaane kyuun chaahtaa hai mujh se vo kyaa chaahtaa hai saal-haa-saal se main to safar-e-khvaab mein huun vahi naadaan hai ki taabir-e-vafaa chaahtaa hai hijr ki raat mein bhi dard ke aashob mein bhi dil use chaahtaa rahtaa hai sadaa chaahtaa hai kis tarah se dil-e-vahshi ko bhalaa samjhaaun vo to har daam judaa rang judaa chaahtaa hai naa-taraashida basaarat bhi basirat Thahri ye na honaa thaa magar ye bhi huaa chaahtaa hai us ko dushman bhi kahun us se adaavat bhi rakhun us se main pyaar karun dil to baDaa chaahtaa hai"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi
Quote
"vo chaand thaa baadalon mein gum thaa vo 'aks thaa paaniyon mein gum thaa dastak ki sadaa to aa rahi thi main apne hi vaahimon mein gum thaa chehre pe mohabbatein saji thiin dil apni hi nafraton mein gum thaa miTTi mein nami kahaan se aati paani to samundaron mein gum thaa darbaar mein kursiyaan saji thiin har shakhs aqidaton mein gum thaa us 'ahd kaa kyaa shumaar kiije jo 'ahd kai ruton mein gum thaa insaaf ki bhiik kaise milti qaanun shahaadaton mein gum thaa shirin se sajaa thaa qasr-e-khusrav farhaad mohabbaton mein gum thaa manzil kaa suraagh dene vaalaa be-naam masaafaton mein gum thaa"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi
Quote
"masruf ham bhi anjuman-aaraaiyon mein the ghar jal rahaa thaa log tamaashaaiyon mein the kitni jaraahatein pas-e-ehsaas-e-dard thiin kitne hi zakhm ruuh ki gahraaiyon mein the kuchh khvaab the jo ek se manzar kaa aks the! kuchh shobade bhi us ki masihaaiyon mein the tapti zamin pe uDte bagulon kaa raqs thaa saat aasmaan qahr ki purvaaiyon mein the is tarah khair o shar mein kabhi ran paDaa na thaa kitne hi haadse miri paspaaiyon mein the khilqat pe saadgi kaa main ilzaam kyaa dharun jitne shigaaf the miri daanaaiyon mein the aashob-e-zaat se nikal aayaa thaa ik jahaan ham qaid apni qaafiya-paimaaiyon mein the"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi
Quote
"tire iltifaat ki baat thi tiri be-rukhi ke gile na the tujhe shaayad us ki khabar to ho ki hamaare honT sile na the kisi ahl-e-dard se pochhiye zaraa is chaman kaa moaamla vo chaman ki fasl-e-bahaar mein bhi jahaan pe phuul khile na the ye rah-e-talab ki masaafatein kahin khaar hai kahin daar hai sar-e-ku-e-yaar khaDe the yuun ki qadam hamaare hile na the bhalaa arz-e-gham se guzar ke bhi kabhi tum se koi gila kiyaa ye junun-e-ishq ke tazkire to miri vafaa ke sile na the jo adu ko bazm hui to kyaa vo kuchh is tarah hain gurez-paa kisi raah mein kisi moD par kabhi jaise ham se mile na the"
Asrar ZaidiAsrar Zaidi