SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAta Abidi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tujh ko khiffat se bachaa luun paani tishnagi apni chhupaa luun paani khaak uDti hai har ik chehre par kis ki aankhon se nikaalun paani dhuup dariyaa pe nazar rakhti hai tujh ko kuuze mein chhupaa luun paani uDte phirte hain saron par baadal khvaab aankhon mein basaa luun paani roz bachchon ko sulaa duun yunhi roz patthar ko ubaalun paani aag se kheltaa hai kal mujh ko aa tujhe apnaa banaa luun paani khaarzaaron pe chalun nange paanv khushk dharti ki duaa luun paani sabr ki had bhi to kuchh hoti hai kitnaa palkon pe sambhaalun paani bhuul jaaun na kahin tairaaki kyuun na kashti hi jalaa luun paani apni vahshat kaa ik izhaar sahi kar ke sard aag jalaa luun paani zakhm ho phuul ho yaa angaara ho jo raushan to bulaa luun paani shart hai teri rifaaqat varna vaqt ki aag mein Daalun paani aag matlub-e-lab-e-tishna hai main tujhe kaise bulaa luun paani chashm-e-ahbaab jo ho khushk 'ataa' khuun ko apne banaa luun paani"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"sar pe suraj ho magar saaya na ho aisaa na thaa pahle bhi tanhaa thaa lekin is qadar tanhaa na thaa vo to ye kahiye gham-e-dauraan ne rakh li aabru varna dil ki baat thi kuchh khel bachchon kaa na thaa bach ke tufaan se nikal aayaa to hairaani hai kyuun go safina Dubtaa thaa hausla TuuTaa na thaa aap aae to yaqin karnaa paDaa varna yahaan raat ko suraj kabhi aflaak par niklaa na thaa shahr-e-dilli aaina-khaana hai lekin ai 'ataa' jaal to khush-fahmiyon kaa aap ko bunnaa na thaa"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"saanson ke taaaqub mein hairaan mili duniyaa tasvir bane jab ham aaina hui duniyaa ham khuun pasina jab ik kar ke hue raushan kyuun aag bani duniyaa aur khuub jali duniyaa apnaa nazariyya kyaa mahrum-e-nazar hain jab us samt chale ham bhi jis samt chali duniyaa sailaab-e-balaa se ye kyuun khauf dilaati hai kyaa ham ko bachaaegi shoalon mein ghiri duniyaa maamul judaai hai go phuul ki gulshan se lekin jo hui anqaa khvaabon mein basi duniyaa sab khvaab puraane hain har chand fasaane hain ham roz basaate hain aankhon mein nai duniyaa ham donon safar mein the maalum nahin ab kuchh kyaa tu ne kahi duniyaa kyaa ham ne suni duniyaa fardaa-e-qayaamat kaa vaada tiraa pursaan hai ab kitni bachin saansein ab kitni bachi duniyaa har baat pe hairaani har lamhe ki nigraani duniyaa se 'ataa' yaani kab samjhi gai duniyaa"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"pas-e-divaar hujjat kis liye hai dariche se ye vahshat kis liye hai na main apnaa na main teraa huun duniyaa to phir jiine ki hasrat kis liye hai agar suud o ziyaan ke ham hain qaael junun se apni qurbat kis liye hai jafaa hi jab tiri pahchaan Thahri vafaa mein mujh ko lazzat kis liye hai miri aankhon pe jo pahra hai teraa to aaine se raghbat kis liye hai khud apne ghar mein hai jab ajnabi to mire bhaai ye shohrat kis liye hai safar mein jab na tere kaam aae zaraa ye soch daulat kis liye hai adab hi zindagi mein jab na aayaa adab mein itni mehnat kis liye hai nikal aae hain divaaron pe chehre tasavvur ki ye jiddat kis liye hai miraa aaina hai jab teraa chehra to phir duniyaa ki hairat kis liye hai khamoshi hai javaab-e-jaahilaan jab zabaan jaisi ye neamat kis liye hai hai duniyaa kaa javaaz is amr hi mein jahannam kyuun hai jannat kis liye hai khile hain phuul sahraa mein va-lekin mujhe ghar mein ye farhat kis liye hai nahin vaaqif hai dil isaar se jab 'ataa' izhaar-e-ulfat kis liye hai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"koi bhi khush nahin hai is khabar se ki duniyaa jald lauTegi safar se main sahraa mein safina dekhtaa huun samundar koi guzraa hai idhar se sambhaalo apnaa harf-e-daad-o-tahsin main kab huun mutmain arz-e-hunar se khataa hai ye javaaz apni khataa kaa khataaein hoti rahti hain bashar se sabhon mein khaamiyaan hi dekhtaa hai vo hai mahrum kyaa husn-e-nazar se ghazab kaa aaegaa sailaab yaaro ki guzraa hai bahut saa paani sar se bulandi itni bhi achchhi nahin hai utaaro ab 'ataa' ko daar par se"
Ata AbidiAta Abidi