SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKhursheed Akbar(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"guzar gai hai mujhe reg-zaar karti hui vo ek machhli samundar shikaar karti hui na jaane kitne bhanvar ko rulaa ke aae hai ye meri kashti-e-jaan khud ko paar karti hui vo ek saaat-e-maasum dil ki parvarda mukar gai hai magar e'tibaar karti hui junun ki aakhiri larzida muzmahil si raat jhapak gai hai zaraa intizaar karti hui ye kaisi khvaahish-e-naa-did hai doraahe par sahm gai hai abhi mujh pe vaar karti hui lipaT ke so gai aakhir sham-e-firaaq ke saath shab-e-siyaah sitaare shumaar karti hui safar mein kaisi haraarat qarib thi 'khurshid' utar gai hai mujhe dhaar-daar karti hui"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"kisi bhi shahr kaa mausam suhaanaa chhoD dete hain garaan ho jaaein to ham aab-o-daana chhoD dete hain faqat ik bhuul ne maan baap ko alqat kiyaa ghar mein ki beTe jab siyaane huun kamaanaa chhoD dete hain miyaan biivi ke rishte e'timaadon ki amaanat hain magar ik aankh donon ghaaebaana chhoD dete hain unhein maalum hain majbur jebon ke taqaaze sab vo in mein khubsurat saa bahaana chhoD dete hain hamaari faaqa-masti aasmaan ke peT bharti hai ham apne paanv ke niche khazaana chhoD dete hain"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"asbaab kahaan jaan-e-jahaan dekhte rahnaa khaali koi dam hai ye makaan dekhte rahnaa taa-umr tire shahr mein rahnaa bhi nahin hai milti hai kahaan jaa-e-amaan dekhte rahnaa palkon pe koi hai lab-e-izhaar ki surat rakhtaa huun main khanjar pe zabaan dekhte rahnaa aansu mire bachchon ki tarah khuun se khelein kuchh khel nahin ghar kaa ziyaan dekhte rahnaa ik arsa-e-jaan tak hi ye manzar nahin mauquf phir qissa-e-aalam hai dhuaan dekhte rahnaa bauchhaar hai tiron ki vo rahvaar akelaa kitnaa hai shitaabi ye samaan dekhte rahnaa duniyaa kisi maqtal mein hai zindon ki gavaahi jaate hain kahaan piir o javaan dekhte rahnaa hogi kisi manjdhaar ke siine pe miri naav dariyaa hai mire saath ravaan dekhte rahnaa taarik ufuq par vo ajab shaan se niklaa 'khurshid' se raushan hai jahaan dekhte rahnaa"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"ek manzar iztiraabi ek manzar se ziyaada dil hai saahil dil safina dil samundar se ziyaada do jahaan ki neamaton ko do badan se zarb de kar ek lamha maangtaa huun banda-parvar se ziyaada ai but-e-tauba-shikan main tujh se mil kar sochtaa huun phuul mein hoti nazaakat kaash patthar se ziyaada hasrat-e-shahr-e-nasibaan kyaa tujhe maalum bhi hai dasht hai aabaad yaani ishq ke ghar se ziyaada chashm-o-lab se pahle ik tishna taalluq chaahtaa huun aur phir aasudgi tasnim-o-kausar se ziyaada ek larzida fazaa hai aasmaan ki vusaton mein ik parinda uD rahaa hai apne shah-par se ziyaada bastiyon ke log saare barf hote jaa rahe hain be-rukhi achchhi nahin 'khurshid-akbar' se ziyaada"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"vo ik chaTaan jo paani hui saliqe se nadi kuchh aur siyaani hui saliqe se nigah ki dhaar mein khanjar kaa zaaiqa utraa dilon ki baat zabaani hui saliqe se ise bhi khaa gai tahzib dimakon ki tarah nai kitaab puraani hui saliqe se vo ek raat jo pahlu mein mutmain thi bahut qayaamaton ki nishaani hui saliqe se uThe jo shahr se sahraa pe vo baras bhi gae ghamon ki naql-e-makaani hui saliqe se mire lahu se hain gul-rang hasratein us ki sazaa ki shaam suhaani hui saliqe se kisi kaa qurb kabutar ke pankh jaisaa thaa badan ki aag bhi paani hui saliqe se"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"ek mafruza taqaddus khud pe taari kar rahaa huun koh-e-isyaan se bahishti nahr jaari kar rahaa huun chaahtaa huun arsh-o-kursi tak pahunchnaa rafta rafta asfaleni khvaahishon par yuun savaari kar rahaa huun munhamik hai pairahan shaghli mein kyuun chashm-e-takhayyul main abhi uryaan badan par dast-kaari kar rahaa huun nafs-e-taskini pe us ne sau taqaaze rakh diye hain main jo har lazzat pe fikr-e-hamd-e-baari kar rahaa huun sar-nigun guzraa hai shaayad ab ke talvaaron kaa mausam be-iraada shahr ki mardum-shumaari kar rahaa huun"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"khalaa mein tair rahaa hai savaal duniyaa kaa khudaa ko aaegaa kis din khayaal duniyaa kaa ye aur baat ki jannat yaqin se aage thi vahaan bhi saath gayaa ehtimaal duniyaa kaa hamaare naama-e-aamaal mein likhaa us ne uruj-e-aadam-e-khaaki zavaal duniyaa kaa ye vaaqia hai ki insaan mar gayaa pahle phir is ke baad huaa intiqaal duniyaa kaa koi khabar nahin kis vaqt aur kahaan gir jaae khudaa ke haath se jaam-e-sifaal duniyaa kaa hazaar mail ko dhoyaa hazaar saabun se kisi tarah bhi na chhuTaa khayaal duniyaa kaa ajiib rang kaa pinjra hai aasmaan niche tilism-e-ghaib hai 'khurshid' haal duniyaa kaa"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"ghar-baar kahaan kucha o baazaar miri jaan darvesh ko duniyaa nahin darkaar miri jaan ik shahr zamin-bos hai aamad pe tumhaari raste mein bichhe hain dar-o-divaar miri jaan kyuun arsa-e-aflaak siyah-posh hai bolo kis tarah zamin ho gai gulnaar miri jaan kuchh phuul hain shaakhon se abhi jhuul rahe hain rukhsaar pe rakkhe hue rukhsaar miri jaan rotaa huun to sailaab se kaTti hain zaminein hanstaa huun to Dhah jaate hain kohsaar miri jaan sunte hain falak-bos imaarat hai tah-e-aab kyaa shahr thaa kyaa mauj ki raftaar miri jaan dil hai ki abhi dard ke narghe mein ghiraa hai chehra hai ki aalam mein hai akhbaar miri jaan taa-umr na milne ki kasak saath rahegi pahlaa to nahin aakhiri didaar miri jaan"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"kaun kis ke saath rahtaa hai makaan hote hue bhi kaun chaltaa hai zamin par aasmaan hote hue bhi kaun jaane khair kaa pahlu kahin raushan ho shaayad ham tumhaare shahr mein hain be-amaan hote hue bhi tez baarish mein bhi kitne pyaas ke maare paDe hain dhuup mein jalte hain kitne saaebaan hote hue bhi is andheri raat mein vo chaand niklegaa yahaan se ik daricha ain-mumkin hai gumaan hote hue bhi nau-shagufta ik shajar kaa qad nikalnaa hai qayaamat aur us kaa be-khabar honaa javaan hote hue bhi koi titli gul kaa chehra chumti rahti hai aksar phailti rahti hai khushbu raaegaan hote hue bhi is ghane jangal kaa jalnaa apni sarhad se nikalnaa bastiyon ko yaad hai sab kuchh dhuaan hote hue bhi maahi-e-be-aab saa betaab hai saaraa zamaana aur main shaadaab huun aatash-bajaan hote hue bhi zindagi main ne tumhein har haal mein aabaad rakkhaa rote hanste jiite marte be-nishaan hote hue bhi raah-e-sheristaan se guzraa hai koi 'khurshid-akbar' 'mir' o 'ghaalib' kaa ilaaqa darmiyaan hote hue bhi"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"kab kisi gahre samundar ko havaa samjhegi sath par tairti maujon ko navaa samjhegi do badan dard ki lahron pe bhi mil sakte hain is risaalat ko kahaan baad-e-sabaa samjhegi ruuh kaa zakhm na paDh paaegaa gautam phir bhi vo pujaaran isi patthar ko khudaa samjhegi vaqt kaafir ki khudaai hai gunahgaar bahut saari maasum namaazon ko qazaa samjhegi is haveli ki rivaayat hi sharifaana hai khud ko nilaam chaDhaa kar bhi bajaa samjhegi jaane kab utregaa 'khurshid'-e-bashaarat mujh mein kab ye tanhaai mujhe ghaar-e-hiraa samjhegi"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"mat use haath lagaanaa vo sajan aag hai aag tum use khaak samajhte ho badan aag hai aag us ki hasrat mein bhale log mare jaate hain kaun samjhaae ki vo ghuncha-dahan aag hai aag apni tahzib ko paani ki zarurat hogi chuum aayaa huun lab-e-gang-o-jaman aag hai aag vo jo momin hai to miTTi hi kafan hai us kaa aur kaafir hai to phir us kaa kafan aag hai aag saare sayyaare sitaare bhi hain aatish-paare ye zamin aag ki hai nil-gagan aag hai aag phuul khilte hain ki baarud khabar bhi denaa kitnaa shaadaab hai aur kitnaa chaman aag hai aag sard alfaaz ko bakhshi hai haraarat kis ne rashk-e-'khurshid' hai vo us kaa sukhan aag hai aag"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"saron par taaj rakkhe the qadam par takht rakkhaa thaa vo kaisaa vaqt thaa muTThi mein saaraa vaqt rakkhaa thaa vo tanhaa khaaksaari thi nibhaayaa umr bhar us ne mizaaj-e-shaah-e-aalamgir varna sakht rakkhaa thaa bahut saamaan thaa ghar mein bahut si neamatein bhi thiin musaafir ne magar apnaa safar be-rakht rakkhaa thaa gire the dhire dhire saare kangure zamaane ke haveli mein to ab ke laa-makaan yak-lakht rakkhaa thaa main sab ko chhoD kar duniyaa tire raste pe aa jaataa magar is raaste mein bhi dil-e-kam-bakht rakkhaa thaa"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"sitam ki intihaa par chal rahi hai ye duniyaa kis khudaa par chal rahi hai dilon par qahr kaa mausam hai kaisaa miri basti duaa par chal rahi hai lahu se khelte hain sab farishte siyaasat faatiha par chal rahi hai zabaan kaaTi gai kis khush-dahan ki ki hujjat zaaiqa par chal rahi hai badan mein saans letaa hai samundar miri kashti havaa par chal rahi hai qanaaat hai kisi muflis ki biivi riyaasat daashta par chal rahi hai ghazal ki shaaeri khurshid-akbar bisaat-e-marsiya par chal rahi hai"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"vo kaun hain phulon ki hifaazat nahin karte sunte hain jo khushbu se mohabbat nahin karte tum ho ki abhi shahr mein masruf bahut ho ham hain ki abhi zikr-e-shahaadat nahin karte quraan kaa mafhum unhein kaun bataae aankhon se jo chehron ki tilaavat nahin karte saahil se sunaa karte hain lahron ki kahaani ye Thahre hue log baghaavat nahin karte ham bhi tire beTe hain zaraa dekh hamein bhi ai khaak-e-vatan tujh se shikaayat nahin karte is mausam-e-jamhur mein vo gul bhi khile hain jo saahib-e-aalam ki himaayat nahin karte ham banda-e-naachiz gunahgaar hain lekin vo bhi to zaraa baarish-e-rahmat nahin karte chehre hain ki sau rang mein hote hain numaayaan aaine magar koi siyaasat nahin karte shabnam ko bharosa hai bahut barg-e-amaan par 'khurshid' bhi daanista qayaamat nahin karte"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"lab-e-dariyaa muraadon kaa makaan kaisaa rahaa hogaa ghani palkon tale aab-e-ravaan kaisaa rahaa hogaa dahakti aag mein vo saaebaan kaisaa rahaa hogaa hamaare sar ke uupar aasmaan kaisaa rahaa hogaa bahut bechain hai khaak-e-bayaabaan sar paTakti hai divaana shahr bhar mein be-amaan kaisaa rahaa hogaa sitaare bujh gae honge zaminein jal rahi hongi phir is ke baad sair-e-laa-makaan kaisaa rahaa hogaa zamin ki be-panaahi dekhtaa huun yaad kartaa huun falak pahlu mein tum saa mehrbaan kaisaa rahaa hogaa"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"khvaab sahraa tiri taabir nikal aai hai koi vahshat hai ki jaagir nikal aai hai shaakh-e-mizhgaan ke parinde hain ye aansu goyaa aab-o-daana liye taqdir nikal aai hai khuun ubaltaa hai nikaltaa hai dhuaan aankhon se dekh paani ki ye tahrir nikal aai hai shahr is tarah bayaabaan mein giraa hai jaise vaqt ke paanv se zanjir nikal aai hai zindagi tujh ko magar sharm nahin aati kyaa kaisi kaisi tiri tasvir nikal aai hai raat hai jism hai bistar hai falak pahlu mein chaand niklaa hai ki shamshir nikal aai hai tez lahron mein salaamat nahin koi 'khurshid' kis tarah hasrat-e-taamir nikal aai hai"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"yaqin hai jis pe vahi bad-gumaan nikaltaa hai miri zamin se us kaa makaan nikaltaa hai hamaare shahr mein hotaa hai saaneha lekin khataa kahaan ki hai ghussa kahaan nikaltaa hai ye aur baat ki vo paak sar-zamin hai magar vahaan ki khaak se hindostaan nikaltaa hai mire liye to akelaa khudaa bahut hai magar tumhaare vaaste saaraa jahaan nikaltaa hai siyaah raat sitaare bujhaati rahti hai ye meraa khvaab-sitaara kahaan nikaltaa hai safar hai dhuup samundar kaa aur jazire saa kahin kahin pe koi saaebaan nikaltaa hai manaa rahaa hai vo jashn-e-shabaab maqtal mein har ek laash kaa chehra javaan nikaltaa hai tumhaare ghar mein abhi kitni raushni hogi hamaare ghar se abhi tak dhuaan nikaltaa hai kahaa kisi ne siyah-posh ho gayaa 'khurshid' sunaa kisi ne dam-e-kahkashaan nikaltaa hai"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"bhaTak rahi hai ruuh ke andar lazzat sukhi giili si jaise rasta bhuul gai ho ek nadi pathrili si mere us ke biich kaa rishta ik majbur zarurat hai main sukhe jazbon kaa indhan vo maachis ki tiili si dekhun kaisi fasl ugaataa hai mausam tanhaai kaa dard ke biij ki nasl hai unchi dil ki miTTi giili si darvaaze par munh laTkaae qillat rang-o-roghan ki aangan aangan jashn manaae khvaahish niili piili si mujh ko baanT ke rakh deti hai dhuup chhaanv ke khemon mein kuchh be-ghairat si masrufi kuchh fursat sharmili si din bhar ki jaan-soz thakan kaa ajr chukaane ko 'khurshid' shaam ke parbat par baiThi hai ik saaat nokili si"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"ghulaam sar pe ibaadat abhi na rakkhi jaae khudaa ke naam baghaavat abhi na rakkhi jaae main Thik-Thaak to kar luun hasab-nasab apnaa lahu pe shart-e-nadaamat abhi na rakkhi jaae ki jis ki aanch se jibrail-e-aagahi jhulsein anaa mein itni tamaazat abhi na rakkhi jaae hamaare shahr ki miTTi hai shar-pasand bahut yahaan fasil-e-hifaazat abhi na rakkhi jaae bahisht-rang muraadon ki jaa-namaazon par munaafiqon ki siyaasat abhi na rakkhi jaae safed-poshi-e-zillat bahut hai jiine ko sar-e-janaab-e-sharaafat abhi na rakkhi jaae hamaare khuun se ibaarat hai shajra-e-tahzib yahaan pe mohr-e-siyaadat abhi na rakkhi jaae"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"badan ki raakh se raushan sharaara kar ke dekhungaa main apni jaan ko ab ke sitaara kar ke dekhungaa vo tanhaa justuju bechain si rahti hai aankhon mein qayaamat aa bhi jaae to gavaara kar ke dekhungaa qazaa aksar mire kuche se be-parda guzarti hai use bhi khelte hanste ishaara kar ke dekhungaa ye sochaa hai lab-e-larzaan pe rakh kar tishnagi saari tujhe bhi ai samundar istiaara kar ke dekhungaa na chhat hogi na dar hogaa na sahn-e-yaar kaa gosha main shahr-e-aafiyat mein yuun guzaara kar ke dekhungaa badan kashti bhanvar khvaahish iraada baadbaan jaisaa junun-dariyaa chalo khud ko kinaara kar ke dekhungaa safar mein khair-o-shar ke baad vo manzil bhi aaegi jahaan 'khurshid' apnaa goshvaara kar ke dekhungaa"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar
Quote
"dariyaa mein bahut kuchh hai ravaani ke alaava muddat se main sairaab huun paani ke alaava ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava imaan-shikan paikar-e-doshiza-e-aalam sab kuchh hai tire paas javaani ke alaava kis ahd-e-gunahgaar ne li aakhiri hichki masruf hain sab faatiha-khvaani ke alaava rangon ko baratne kaa hunar siikh chukaa huun kyaa chaahiye ab teri nishaani ke alaava duniyaa se taalluq kaa sabab kis ko bataaun ab dost kahaan dushman-e-jaani ke alaava kyaa duun tujhe jaati hui jaan-baaz bahaaro kuchh paas nahin barg-e-khizaani ke alaava har shakhs mudaavaa hai aqidat se hai be-zaar mohlat hai kise pir-e-mughaani ke alaava ashaar kahaan dete hain munh dekhi gavaahi 'khurshid' kahaan nur-e-maaani ke alaava"
Khursheed AkbarKhursheed Akbar