Quote
"jise paalaa thaa ik muddat tak aaghosh-e-tamannaa mein vahi baani huaa mere gham o dard o aziyyat kaa usi ke haath se kyaa kyaa sahaa sahnaa hai kyaa kyaa kuchh ilaahi do jahaan mein munh ho kaalaa is muravvat kaa karein insaaf kaa daavaa asar kuchh bhi na zaahir ho mazaa chakkhaa hai aise doston se bhi mohabbat kaa miTaaein taaki apne zulm karne ki nadaamat ko nikaalein DhunD kar har tarah se pahlu shikaayat kaa hasad ji mein bharaa hai laag hai ik umr se dil mein karein zaahir agar mauqaa hai izhaar-e-adaavat kaa tamaa mein kuchh na samjhein baap aur bhaai ki hurmat ko amal dekho to ye phir kuchh karein daavaa sharaafat kaa miri umr-e-do-roza bekasi ke saath kaTti hai na apnon se na ghairon se milaa samra riyaazat kaa jise dekhaa jise paayaa gharaz kaa apni banda thaa jahaan main ab mazaa baaqi nahin khaalis mohabbat kaa hamaaraa kalba-e-ahzaan hai ham hain yaa kitaabein hain rahaa baaqi na koi ham-nashin ab apni qismat kaa khudaa aabaad rakkhe 'shaad' mere un azizon ko mazaa chakkhvaa diyaa al-qarz-o-miqraaz-ul-mohabbat kaa"







