Shayari
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
baarish sharaab-e-arsh hai ye soch kar 'adam'
baarish ke sab huruf ko ulTaa ke pi gayaa
بارش شراب عرش ہے یہ سوچ کر عدمؔ
بارش کے سب حروف کو الٹا کے پی گیا
बारिश शराब-ए-अर्श है ये सोच कर 'अदम'
बारिश के सब हुरूफ़ को उल्टा के पी गया

saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
taklif miT gai magar ehsaas rah gayaa
khush huun ki kuchh na kuchh to mire paas rah gayaa
sirf ik qadam uThaa thaa ghalat raah-e-shauq mein
manzil tamaam umr mujhe DhunDhti rahi
kahte hain umr-e-rafta kabhi lauTti nahin
jaa mai-kade se meri javaani uThaa ke laa
jin se insaan ko pahunchti hai hamesha taklif
un kaa daavaa hai ki vo asl khudaa vaale hain
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
kitnaa mushkil hai zindagi karnaa
aur na socho to kitnaa aasaan hai
ghar banaane ki baDi fikr hai duniyaa mein hamein
saahab-e-khaana bane jaate hain mehmaan ho kar
fil-haqiqat koi nahin martaa
maut hikmat kaa ek pardaa hai
kharidaari hai shahd o shiir o qasr o huur o ghilmaan ki
gham-e-din bhi agar samjho to ik dhandaa hai duniyaa kaa