Shayari
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ji chaahtaa hai aaj 'adam' un ko chheDiye
Dar Dar ke pyaar karne mein koi mazaa nahin
جی چاہتا ہے آج عدمؔ ان کو چھیڑئیے
ڈر ڈر کے پیار کرنے میں کوئی مزا نہیں
जी चाहता है आज 'अदम' उन को छेड़िए
डर डर के प्यार करने में कोई मज़ा नहीं

saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ijaazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
sunaa hai zindagi ik khub-surat daam hai saaqi
savaal kar ke main khud hi bahut pashemaan huun
javaab de ke mujhe aur sharmsaar na kar
marne vaale to khair hain bebas
jiine vaale kamaal karte hain
mai-kada hai yahaan sukun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dil mein na ho jurat to mohabbat nahin milti
khairaat mein itni baDi daulat nahin milti
dosti ishq aur vafaadaari
sakht jaan mein bhi narm goshe hain
kaf-e-afsos malne se bhalaa ab faaeda kyaa hai
dil-e-raahat-talab kyuun ham na kahte the ye duniyaa hai
ishq ho jaaegaa meri daastaan-e-ishq se
raat bhar jaagaa karoge is kahaani ke liye