Shayari
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
mai-kada hai yahaan sukun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
مے کدہ ہے یہاں سکوں سے بیٹھ
کوئی آفت ادھر نہیں آتی
मय-कदा है यहाँ सुकूँ से बैठ
कोई आफ़त इधर नहीं आती

saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ijaazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
sunaa hai zindagi ik khub-surat daam hai saaqi
savaal kar ke main khud hi bahut pashemaan huun
javaab de ke mujhe aur sharmsaar na kar
marne vaale to khair hain bebas
jiine vaale kamaal karte hain
had se baDh kar hasin lagte ho
jhuTi qasmein zarur khaayaa karo
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
kam nahin ai dil-e-betaab mataa-e-ummid
dast-e-mai-khvaar mein khaali hi sahi jaam to hai
ham Thahre raheinge kisi taabir ko thaame
aankhon mein koi khvaab ravaan yuun hi rahegaa
khalvat ho aur sharaab ho maashuq saamne
zaahid tujhe qasam hai jo tu ho to kyaa kare
us ne hamaare zakhm kaa kuchh yuun kiyaa ilaaj
marham bhi gar lagaayaa to kaanTon ki nok se