Shayari
nahin milti unhein manzil jinhein khauf-e-havaadis hai
jo maujon se nahin Darte nadi ko paar karte hain
sab apni apni raah par aage nikal gae
ab kis kaa intizaar kiye jaa rahe hain ham
سب اپنی اپنی راہ پر آگے نکل گئے
اب کس کا انتظار کئے جا رہے ہیں ہم
सब अपनी अपनी राह पर आगे निकल गए
अब किस का इंतिज़ार किए जा रहे हैं हम

nahin milti unhein manzil jinhein khauf-e-havaadis hai
jo maujon se nahin Darte nadi ko paar karte hain
zindagi chhoTi hai saamaan bahut
aur dil ke bhi hain armaan bahut
ab charaaghon mein zindagi kam hai
dil jalaao ki raushni kam hai
bevafaa kahiye baa-vafaa kahiye
dil mein aae jo barmalaa kahiye
na jaane kis ki yaad ne li dil mein gudgudi
aaina dekh dekh ke sharmaa rahe hain ham
kahaan shikva zamaane kaa pas-e-divaar karte hain
hamein karnaa hai jo bhi ham sar-e-baazaar karte hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
muddat hui palak se palak aashnaa nahin
kyaa is se ab ziyaada kare intizaar chashm
kisi ke raste pe kaise nazrein jamaae rakkhun
abhi to karnaa mujhe hai khud intizaar meraa
mujh ko lagtaa hai ghaDi jis ne banaai hogi
intizaar us ko bhi shiddat se kisi kaa hogaa