Shayari
hamaare Dubne ke baad ubhreinge nae taare
jabin-e-dahr par chhaTkegi afshaan ham nahin honge
ab nahin jannat mashaam-e-kucha-e-yaar ki shamim
nikhat-e-zulf kyaa hui baad-e-sabaa ko kyaa huaa
اب نہیں جنت مشام کوچہ یار کی شمیم
نکہت زلف کیا ہوئی باد صبا کو کیا ہوا
अब नहीं जन्नत मशाम-ए-कूचा-ए-यार की शमीम
निकहत-ए-ज़ुल्फ़ क्या हुई बाद-ए-सबा को क्या हुआ

hamaare Dubne ke baad ubhreinge nae taare
jabin-e-dahr par chhaTkegi afshaan ham nahin honge
tujhe kuchh ishq o ulfat ke sivaa bhi yaad hai ai dil
sunaae jaa rahaa hai ek hi afsaana barson se
charaagh-e-zindagi hogaa farozaan ham nahin honge
chaman mein aaegi fasl-e-bahaaraan ham nahin honge
jo unhein vafaa ki sujhi to na ziist ne vafaa ki
abhi aa ke vo na baiThe ki ham uTh gae jahaan se
ishq hai be-gudaaz kyuun husn hai be-niyaaz kyuun
meri vafaa kahaan gai un ki jafaa ko kyaa huaa
haal-e-dil sun ke vo aazurda hain shaayad un ko
is hikaayat pe shikaayat kaa gumaan guzraa hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi