Shayari
gale se lagte hi jitne gile the bhuul gae
vagarna yaad thiin ham ko shikaayatein kyaa kyaa
mai-kade mein ishq ke kuchh sarsari jaanaa nahin
kaasa-e-sar ko yahaan gardish hai paimaane ki tarah
مے کدہ میں عشق کے کچھ سرسری جانا نہیں
کاسۂ سر کو یہاں گردش ہے پیمانے کی طرح
मय-कदे में इश्क़ के कुछ सरसरी जाना नहीं
कासा-ए-सर को यहाँ गर्दिश है पैमाने की तरह

gale se lagte hi jitne gile the bhuul gae
vagarna yaad thiin ham ko shikaayatein kyaa kyaa
dil-rubaa tujh saa jo dil lene mein ayyaari kare
phir koi dilli mein kyaa dil ki khabardaari kare
aag is dil-lagi ko lag jaae
dil-lagi aag phir lagaane lagi
ba-vaqt-e-bosa-e-lab kaash ye dil kaamraan hotaa
zabaan us bad-zabaan ki munh mein aur main zabaan hotaa
tankhvaah ek bosa hai tis par ye hujjatein
hai naa-dahind aap ki sarkaar be-tarah
namaaz apni agarche kabhi qazaa na hui
adaa kisi ki jo dekhi to phir adaa na hui
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
charchaa hamaaraa ishq ne kyuun jaa-ba-jaa kiyaa
dil us ko de diyaa to bhalaa kyaa buraa kiyaa
aataa rahaa huun yaad main us ko tamaam umr
is zaaviye se ishq mein naakaam kab huaa
kyaa kahaa ishq jaavedaani hai!
aakhiri baar mil rahi ho kyaa
dil kaun hai ki us se kahein raaz-e-ishq ham
tere khayaal se bhi na ham guftugu karein