Shayari
tu kahin baiTh aur hukm chalaa
ham jo hain teraa bojh Dhone ko
har rukh hai kahin apne khad-o-khaal se baahar
har lafz hai kuchh apne maaani se ziyaada
ہر رخ ہے کہیں اپنے خد و خال سے باہر
ہر لفظ ہے کچھ اپنے معانی سے زیادہ
हर रुख़ है कहीं अपने ख़द-ओ-ख़ाल से बाहर
हर लफ़्ज़ है कुछ अपने मआनी से ज़ियादा

tu kahin baiTh aur hukm chalaa
ham jo hain teraa bojh Dhone ko
kahin koi charaagh jaltaa hai
kuchh na kuchh raushni rahegi abhi
bhar laae hain ham aankh mein rakhne ko muqaabil
ik khvaab-e-tamannaa tiri ghaflat ke baraabar
qisse se tire meri kahaani se ziyaada
paani mein hai kyaa aur bhi paani se ziyaada
jis kaam mein ham ne haath Daalaa
vo kaam muhaal ho gayaa hai
yaad bhi teri miT gai dil se
aur kyaa rah gayaa hai hone ko
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
safar kaa marhala-e-sakht hi ghanimat thaa
Thahar gae to badan ki thakan ziyaada hui
jab jab tum ko yaad karein ham
tab tab baarish ho jaati hai
ba-zaahir dasht ki jaanib to baDhtaa jaa rahaa hai
magar sab raaste bhi yaad kartaa jaa rahaa hai
itnaa to mujhe yaad hai kuchh us ne kahaa thaa
kyaa us ne kahaa thaa ye mujhe yaad nahin hai
mayassar muft mein the aasmaan ke chaand taare tak
zamin ke har khilaune ki magar qimat ziyaada thi