Shayari
yaad bhi teri miT gai dil se
aur kyaa rah gayaa hai hone ko
bhar laae hain ham aankh mein rakhne ko muqaabil
ik khvaab-e-tamannaa tiri ghaflat ke baraabar
بھر لائے ہیں ہم آنکھ میں رکھنے کو مقابل
اک خواب تمنا تری غفلت کے برابر
भर लाए हैं हम आँख में रखने को मुक़ाबिल
इक ख़्वाब-ए-तमन्ना तिरी ग़फ़लत के बराबर

yaad bhi teri miT gai dil se
aur kyaa rah gayaa hai hone ko
tu kahin baiTh aur hukm chalaa
ham jo hain teraa bojh Dhone ko
kahin koi charaagh jaltaa hai
kuchh na kuchh raushni rahegi abhi
qisse se tire meri kahaani se ziyaada
paani mein hai kyaa aur bhi paani se ziyaada
jis kaam mein ham ne haath Daalaa
vo kaam muhaal ho gayaa hai
har rukh hai kahin apne khad-o-khaal se baahar
har lafz hai kuchh apne maaani se ziyaada
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
aasmaan aisaa bhi kyaa khatra thaa dil ki aag se
itni baarish ek shole ko bujhaane ke liye
ye abr-e-nau hamaare kisi kaam kaa nahin
un ko pasand hi nahin baarish mein bhignaa
chaahat kaa jab mazaa hai ki vo bhi hon be-qaraar
donon taraf ho aag baraabar lagi hui
agar hon kachche gharondon mein aadmi aabaad
to ek abr bhi sailaab ke baraabar hai
aankh apni tiri abru pe jami rahti hai
roz is bait pe ham saad kiyaa karte hain