Shayari
yaad bhi teri miT gai dil se
aur kyaa rah gayaa hai hone ko
qisse se tire meri kahaani se ziyaada
paani mein hai kyaa aur bhi paani se ziyaada
قصے سے ترے میری کہانی سے زیادہ
پانی میں ہے کیا اور بھی پانی سے زیادہ
क़िस्से से तिरे मेरी कहानी से ज़ियादा
पानी में है क्या और भी पानी से ज़ियादा

yaad bhi teri miT gai dil se
aur kyaa rah gayaa hai hone ko
tu kahin baiTh aur hukm chalaa
ham jo hain teraa bojh Dhone ko
kahin koi charaagh jaltaa hai
kuchh na kuchh raushni rahegi abhi
bhar laae hain ham aankh mein rakhne ko muqaabil
ik khvaab-e-tamannaa tiri ghaflat ke baraabar
jis kaam mein ham ne haath Daalaa
vo kaam muhaal ho gayaa hai
har rukh hai kahin apne khad-o-khaal se baahar
har lafz hai kuchh apne maaani se ziyaada
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
ik faqat yaad hai jaanaa un kaa
aur kuchh is ke sivaa yaad nahin
jaane kis ki thi khataa yaad nahin
ham hue kaise judaa yaad nahin
fikr-e-maaash o ishq-e-butaan yaad-e-raftagaan
in mushkilon se ahd-baraai na ho saki
ik bahaana hai tujhe yaad kiye jaane kaa
kab saliqa hai mujhe varna ghazal gaane kaa